हम सीढ़ियाँ हैं—
तुम हमें पैरों तले रौंदकर
हर रोज़ बहुत ऊपर उठ जाते हो
फिर मुड़कर भी नहीं देखते पीछे की ओऱ
तुम्हारी चरणधूलि से धन्य हमारी छातियाँ
पैर की ठोकरों से क्षत-विक्षत हो जाती हैं—रोज़ ही।
तुम भी यह जानते हो
तभी कालीन में लपेट कर रखना चाहते हो
हमारे सीने के घाव
छुपाना चाहते हो अपने अत्याचार के निशान
और दबाकर रखना चाहते हो धरती के सम्मुख
अपनी गर्वोद्धत अत्याचारी पदचाप!
फिर भी हम जानते हैं
दुनिया से हमेशा छुपे न रह सकेंगे
हमारी देह पर तुम्हारे पैरों की ठोकरों को निशान
और सम्राट हुमायूँ की तरह
एक दिन
तुम्हारे भी पैर फिसल सकते हैं!
hum siDhiyan hain—
tum hamein pairon tale raundkar
har roz bahut upar uth jate ho
phir muDkar bhi nahin dekhte pichhe ki or
tumhari charandhuli se dhany hamari chhatiyan
pair ki thokron se kshat wikshat ho jati hain—roz hi
tum bhi ye jante ho
tabhi kalin mein lapet kar rakhna chahte ho
hamare sine ke ghaw
chhupana chahte ho apne attyachar ke nishan
aur dabakar rakhna chahte ho dharti ke sammukh
apni garwoddhat atyachari padchap!
phir bhi hum jante hain
duniya se hamesha chhupe na rah sakenge
hamari deh par tumhare pairon ki thokron ko nishan
aur samrat humayun ki tarah
ek din
tumhare bhi pair phisal sakte hain!
hum siDhiyan hain—
tum hamein pairon tale raundkar
har roz bahut upar uth jate ho
phir muDkar bhi nahin dekhte pichhe ki or
tumhari charandhuli se dhany hamari chhatiyan
pair ki thokron se kshat wikshat ho jati hain—roz hi
tum bhi ye jante ho
tabhi kalin mein lapet kar rakhna chahte ho
hamare sine ke ghaw
chhupana chahte ho apne attyachar ke nishan
aur dabakar rakhna chahte ho dharti ke sammukh
apni garwoddhat atyachari padchap!
phir bhi hum jante hain
duniya se hamesha chhupe na rah sakenge
hamari deh par tumhare pairon ki thokron ko nishan
aur samrat humayun ki tarah
ek din
tumhare bhi pair phisal sakte hain!
स्रोत :
पुस्तक : मैंने अभी-अभी सपनों के बीज बोए थे (पृष्ठ 38)
रचनाकार : सुकांत भट्टाचार्य
प्रकाशन : संवाद प्रकाशन
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.