शुक्र है कि किसी के अहित में उठ जाएँ
ऐसे हाथ तुम्हारे पास नहीं
या ऐसा धर्म भी नहीं जो
बना दे तुम्हें अंधा
फिर तुम चिल्लाते-पगलाते हुए
जला दो बस-ट्रक, दुकानें
पेट्रोल पंप और जीवित लोगों को
शुक्र है कि तुम रहते हो ऐसे शहर में
जहाँ हिंदू-मुस्लिम के नाम पर तेरा-मेरा नहीं होता
या नहीं है किसी के लिए मन में कोई अँधेरा
ऐसी है वहाँ की शिक्षा-दीक्षा
धूप, हवा, पानी
और रंग
शुक्र है कि तुम
भाषा और भाषाई विविधता भी समझते हो
इतना कि किसी गाय, भैंस, कुत्ते, बिल्ली
या चिड़िया को भी चोट लग जाए
तब तुम्हें लगता है कि
लग गई है तुम्हीं को गहरी चोट
शुक्र है कि अन्न-धन्न की कीमत जानते हो
जानते हो बच्चों का सरल मन भी
इसलिए न कभी किसी का अन्न-धन्न छीना
न ही छीना किसी बच्चे का मन भी
शुक्र है कि सूरज के साथ ही उठ जाते हो तुम
सर्दी में ठिठुर रहे लोगों को धूप के वस्त्र पहनाने
और गरमाहट फैलाने के लिए
शुक्र है कि तुम हो तो तुम
थाम लेते हो उदास हाथों को
उनकी उदासी दूर कर
निरंतर संघर्ष का रास्ता चुनने के लिए
शुक्र है कि तुम हो तो
शुक्रिया कहने का आत्मिक भाव भी
नहीं हुआ है ख़त्म अभी।
shukr hai ki kisi ke ahit mein uth jayen
aise haath tumhare paas nahin
ya aisa dharm bhi nahin jo
bana de tumhein andha
phir tum chillate paglate hue
jala do bas trak, dukanen
petrol pamp aur jivit logon ko
shukr hai ki tum rahte ho aise shahr mein
jahan hindu muslim ke naam par tera mera nahin hota
ya nahin hai kisi ke liye man mein koi andhera
aisi hai vahan ki shiksha diksha
dhoop, hava, pani
aur rang
shukr hai ki tum
bhasha aur bhashai vividhta bhi samajhte ho
itna ki kisi gaay, bhains, kutte, billi
ya chiDiya ko bhi chot lag jaye
tab tumhein lagta hai ki
lag gai hai tumhin ko gahri chot
shukr hai ki ann dhann ki kimat jante ho
jante ho bachchon ka saral man bhi
isliye na kabhi kisi ka ann dhann chhina
na hi chhina kisi bachche ka man bhi
shukr hai ki suraj ke saath hi uth jate ho tum
sardi mein thithur rahe logon ko dhoop ke vastra pahnane
aur garmahat phailane ke liye
shukr hai ki tum ho to tum
thaam lete ho udaas hathon ko
unki udasi door kar
nirantar sangharsh ka rasta chunne ke liye
shukr hai ki tum ho to
shukriya kahne ka atmik bhaav bhi
nahin hua hai khatm abhi.
shukr hai ki kisi ke ahit mein uth jayen
aise haath tumhare paas nahin
ya aisa dharm bhi nahin jo
bana de tumhein andha
phir tum chillate paglate hue
jala do bas trak, dukanen
petrol pamp aur jivit logon ko
shukr hai ki tum rahte ho aise shahr mein
jahan hindu muslim ke naam par tera mera nahin hota
ya nahin hai kisi ke liye man mein koi andhera
aisi hai vahan ki shiksha diksha
dhoop, hava, pani
aur rang
shukr hai ki tum
bhasha aur bhashai vividhta bhi samajhte ho
itna ki kisi gaay, bhains, kutte, billi
ya chiDiya ko bhi chot lag jaye
tab tumhein lagta hai ki
lag gai hai tumhin ko gahri chot
shukr hai ki ann dhann ki kimat jante ho
jante ho bachchon ka saral man bhi
isliye na kabhi kisi ka ann dhann chhina
na hi chhina kisi bachche ka man bhi
shukr hai ki suraj ke saath hi uth jate ho tum
sardi mein thithur rahe logon ko dhoop ke vastra pahnane
aur garmahat phailane ke liye
shukr hai ki tum ho to tum
thaam lete ho udaas hathon ko
unki udasi door kar
nirantar sangharsh ka rasta chunne ke liye
shukr hai ki tum ho to
shukriya kahne ka atmik bhaav bhi
nahin hua hai khatm abhi.
स्रोत :
रचनाकार : खेमकरण ‘सोमन’
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.