शिरीष पुष्पों-सा नाज़ुक, यह मन हो गया है,
तुम मेरे हो मुझको, भरम हो गया है।
अकारण ही आह्लादित, संदल-सा मन है
सुधियों से संचालित, बहका-सा तन है
नयन घट सहज ही, छलकते ये जाते
व्यथा ग़ैर की में, भी रुक ये न पाते
नित बहते ही जाना, धरम हो गया है
तुम मेरे हो मुझको, भरम हो गया है।
रात भर है ठहरता, मुसाफ़िर गगन का
क्षणिक है समय क्यों, हमारे मिलन का
तुम्हें पाने को सम्मुख, मचलती-सी जाती
तुम कहते हो अपना, मैं डर भी हूँ जाती
छद्म प्रेमियों का, अब चलन हो गया है
तुम मेरे हो मुझको, भरम हो गया है।
माह जेठ का क्यों, फागुन है लगता
पिया नाम हृदय में, हर धुन पर बजता
लगे जग ये सुंदर, न मन मे वलन है
प्रेम गीतों का मन, हो गया संकलन है
मदन बाणों से आहत, बदन हो गया है
तुम मेरे हो मुझको, भरम हो गया है।
शिरीष पुष्पों-सा नाज़ुक, यह मन हो गया है
तुम मेरे हो मुझको, भरम हो गया है।
shirish pushpon sa nazuk, ye man ho gaya hai,
tum mere ho mujhko, bharam ho gaya hai.
akaran hi ahladit, sandal sa man hai
sudhiyon se sanchalit, bahka sa tan hai
nayan ghat sahj hi, chhalakte ye jate
vyatha ghair ki mein, bhi ruk ye na pate
nit bahte hi jana, dharam ho gaya hai
tum mere ho mujhko, bharam ho gaya hai.
raat bhar hai thaharta, musafir gagan ka
kshnik hai samay kyon, hamare milan ka
tumhein pane ko sanmukh, machalti si jati
tum kahte ho apna, main Dar bhi hoon jati
chhadm premiyon ka, ab chalan ho gaya hai
tum mere ho mujhko, bharam ho gaya hai.
maah jeth ka kyon, phagun hai lagta
piya naam hriday mein, har dhun par bajta
lage jag ye sundar, na man mae valan hai
prem giton ka man, ho gaya sanklan hai
madan banon se aahat, badan ho gaya hai
tum mere ho mujhko, bharam ho gaya hai.
shirish pushpon sa nazuk, ye man ho gaya hai
tum mere ho mujhko, bharam ho gaya hai.
shirish pushpon sa nazuk, ye man ho gaya hai,
tum mere ho mujhko, bharam ho gaya hai.
akaran hi ahladit, sandal sa man hai
sudhiyon se sanchalit, bahka sa tan hai
nayan ghat sahj hi, chhalakte ye jate
vyatha ghair ki mein, bhi ruk ye na pate
nit bahte hi jana, dharam ho gaya hai
tum mere ho mujhko, bharam ho gaya hai.
raat bhar hai thaharta, musafir gagan ka
kshnik hai samay kyon, hamare milan ka
tumhein pane ko sanmukh, machalti si jati
tum kahte ho apna, main Dar bhi hoon jati
chhadm premiyon ka, ab chalan ho gaya hai
tum mere ho mujhko, bharam ho gaya hai.
maah jeth ka kyon, phagun hai lagta
piya naam hriday mein, har dhun par bajta
lage jag ye sundar, na man mae valan hai
prem giton ka man, ho gaya sanklan hai
madan banon se aahat, badan ho gaya hai
tum mere ho mujhko, bharam ho gaya hai.
shirish pushpon sa nazuk, ye man ho gaya hai
tum mere ho mujhko, bharam ho gaya hai.
स्रोत :
रचनाकार : निधि अग्रवाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.