इस कमरे में
एक कहानी रहती है
कहानी में कबूतर का एक जोड़ा है
दोनों खिड़की से टिक पहरों-पहर
बस देखते रहते हैं इक दूसरे को
धूप आती है फिर छाँव और फिर धूप
वह जब देखती है उसे
तो वह पलकें झपका, फेर लेता है चेहरा अपना
दूर बादलों में कहीं कुछ देखने का अभिनय करता है
तब तक, जब तक वह देखती है उसे
फिर अचानक, वह दूर बादलों में देखती है
और वह देखता रहता है उसे
इस कहानी में कहे जाने के लिए
संसार की तमाम-तमाम कहानियों से ज़्यादा संभावना है
फिर भी वे कुछ नहीं कहते
इस कहानी में दो चेहरे हैं भावशून्य
जो एक-दूसरे से नज़र बचाते
बस देख लेना चाहते हैं—
एक-दूसरे की आँखों में
इस कहानी में
दोनों खिड़की से टिक पहरों-पहर
कह देने को एक-दूसरे से
बस खोजते रहते हैं वह शब्द
जो अधूरा तो हो
पर जिसके मायने न हों कोई
इस कहानी में
दुनिया का सबसे बेबस मौन है
शायद... प्रेम-कहानी है
जो इस कमरे में ही रहती है
is kamre mein
ek kahani rahti hai
kahani mein kabutar ka ek joDa hai
donon khiDki se tik pahron pahar
bus dekhte rahte hain ek dusre ko
dhoop aati hai phir chhanw aur phir dhoop
wo jab dekhti hai use
to wo palken jhapka, pher leta hai chehra apna
door badlon mein kahin kuch dekhne ka abhinay karta hai
tab tak, jab tak wo dekhti hai use
phir achanak, wo door badlon mein dekhti hai
aur wo dekhta rahta hai use
is kahani mein kahe jane ke liye
sansar ki tamam tamam kahaniyon se zyada sambhawna hai
phir bhi we kuch nahin kahte
is kahani mein do chehre hain bhawashuny
jo ek dusre se nazar bachate
bus dekh lena chahte hain—
ek dusre ki ankhon mein
is kahani mein
donon khiDki se tik pahron pahar
kah dene ko ek dusre se
bus khojte rahte hain wo shabd
jo adhura to ho
par jiske mayne na hon koi
is kahani mein
duniya ka sabse bebas maun hai
shayad prem kahani hai
jo is kamre mein hi rahti hai
is kamre mein
ek kahani rahti hai
kahani mein kabutar ka ek joDa hai
donon khiDki se tik pahron pahar
bus dekhte rahte hain ek dusre ko
dhoop aati hai phir chhanw aur phir dhoop
wo jab dekhti hai use
to wo palken jhapka, pher leta hai chehra apna
door badlon mein kahin kuch dekhne ka abhinay karta hai
tab tak, jab tak wo dekhti hai use
phir achanak, wo door badlon mein dekhti hai
aur wo dekhta rahta hai use
is kahani mein kahe jane ke liye
sansar ki tamam tamam kahaniyon se zyada sambhawna hai
phir bhi we kuch nahin kahte
is kahani mein do chehre hain bhawashuny
jo ek dusre se nazar bachate
bus dekh lena chahte hain—
ek dusre ki ankhon mein
is kahani mein
donon khiDki se tik pahron pahar
kah dene ko ek dusre se
bus khojte rahte hain wo shabd
jo adhura to ho
par jiske mayne na hon koi
is kahani mein
duniya ka sabse bebas maun hai
shayad prem kahani hai
jo is kamre mein hi rahti hai
स्रोत :
रचनाकार : सौरभ अनंत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.