मेरे शत्रुओं के गले की अड़हुल की माला
बन जाए मेरी प्रिया के जूड़े का श्वेत-कमल।
मेरे शत्रुओं की आँख का कुंचित विष-भौंह
हो वह चित्रोत्पला के पानी में सीढ़ियाँ
झीनी-झीनी चाँदनी की।
मेरे शत्रुओं का मिथ्याजाल, छंदबद्ध कुत्सा
हो जाए एक सुंदर गाँव का नाम—
शोभना या रूप्सा।
मेरे शत्रुओं के विष के लड्डू हों अमृत
प्रसाद हो मेरे लिए, उनकी गुप्त
इशारेबाजी के सारे टेढ़े-मेढ़े रास्ते हों
सरल, प्रशस्त, चौड़े राजमार्ग जैसे
उनके आँसू कर दुधारू पल-भर में—
वत्सला गायों को, और उनका ख़ून
मेरे देश को करे शस्य-श्यामला।
मेरे शत्रुओं के गले में अड़हुल की माला लह-लह
ख़ूब हँसने लगती है।
mere shatruon ke gale ki aDahul ki mala
ban jaye meri priya ke juDe ka shwet kamal
mere shatruon ki ankh ka kunchit wish bhaunh
ho wo chitrotpala ke pani mein siDhiyan
jhini jhini chandni ki
mere shatruon ka mithyajal, chhandbaddh kutsa
ho jaye ek sundar ganw ka nam—
shobhana ya rupsa
mere shatruon ke wish ke laDDu hon amrit
parsad ho mere liye, unki gupt
isharebaji ke sare teDhe meDhe raste hon
saral, prashast, chauDe rajamarg jaise
unke ansu kar dudharu pal bhar mein—
watsla gayon ko, aur unka khoon
mere desh ko kare shasy shyamala
mere shatruon ke gale mein aDahul ki mala lah lah
khoob hansne lagti hai
mere shatruon ke gale ki aDahul ki mala
ban jaye meri priya ke juDe ka shwet kamal
mere shatruon ki ankh ka kunchit wish bhaunh
ho wo chitrotpala ke pani mein siDhiyan
jhini jhini chandni ki
mere shatruon ka mithyajal, chhandbaddh kutsa
ho jaye ek sundar ganw ka nam—
shobhana ya rupsa
mere shatruon ke wish ke laDDu hon amrit
parsad ho mere liye, unki gupt
isharebaji ke sare teDhe meDhe raste hon
saral, prashast, chauDe rajamarg jaise
unke ansu kar dudharu pal bhar mein—
watsla gayon ko, aur unka khoon
mere desh ko kare shasy shyamala
mere shatruon ke gale mein aDahul ki mala lah lah
khoob hansne lagti hai
स्रोत :
पुस्तक : बसंत के एकांत ज़िले में (पृष्ठ 105)
रचनाकार : सच्चिदानंद राउतराय
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ प्रकाशन
संस्करण : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.