शक्ति दो, बल दो, हे पिता
जब दुख के भार से मन थकने आए
पैरों में क़ुली की-सी लपकती चाल छटपटाए
इतना सौजन्य दो कि दूसरों के बक्स-बिस्तर घर तक पहुँचा आएँ
कोट की पीठ मैली न हो, ऐसी दो व्यथा—
शक्ति दो।
और यह नहीं दो तो यही कहो,
अपने पुत्रों मेरे छोटे भाइयों के लिए यही कहो—
कैसे तुमने अपनी पीढ़ी में किया होगा क्या उपाय?
कैसे सहा होगा, पिता, कैसे तुम बचे होगे?
तुमसे मिला है जो विक्षत जीवन का हमें दाय
उसे क्या करें?
तुमने जो दी है अनाहत जिजीविषा
उसे क्या करें?
कहो, अपने पुत्रों मेरे छोटे भाइयों के लिए यही कहो।
shakti do, bal do, he pita
jab dukh ke bhaar se man thakne aaye
pairon mein quli ki si lapakti chaal chhataptaye
itna saujany do ki dusron ke baks bistar ghar tak pahuncha ayen
coat ki peeth maili na ho, aisi do wyatha—
shakti do
aur ye nahin do to yahi kaho,
apne putron mere chhote bhaiyon ke liye yahi kaho—
kaise tumne apni piDhi mein kiya hoga kya upay?
kaise saha hoga, pita, kaise tum bache hoge?
tumse mila hai jo wikshat jiwan ka hamein day
use kya karen?
tumne jo di hai anahat jijiwisha
use kya karen?
kaho, apne putron mere chhote bhaiyon ke liye yahi kaho

स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 23)
संपादक : सुरेश शर्मा
रचनाकार : रघुवीर सहाय
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.