प्यार
एक बहुउद्धृत शब्द
यह निरा शब्द ही तो है
जैसे अंक हैं गणित में
नहीं!
मैं शब्द के संगीत को
पा नहीं सका था
और अर्थ की सतहों के पार
जा नहीं सका था
शब्द जो बहता है सदानीरा-सा
शब्द जो मचलता है
लय है
शब्द जो अंकुर है पराजय का
शब्द जो स्वयं ही जय है
शब्द जो मधुमास को पुकार लाते हैं
शब्द जो गंध की नदी से पार आते हैं
शब्द जो किसी साज से बज सकें
शब्द जो किसी के होठों पर सज सकें
शब्द जो दहकता है पलाश-सा
शब्द जो महकता है गुलाब-सा
शब्द चाहिए जिसे—
उपयुक्त माध्यम उपयुक्त समय
शब्द चाहिए जिसे—
उपयुक्त श्रोता उपयुक्त जगह
जहाँ से शब्द
किसी हरसिंगार-सा झर सके
और हर शब्द-याचक
अपनी झोली भर सके
जब तुम पहचान रही थीं
अवसर की उपयुक्तता
मैं वहीं समय के प्रवाह में
पतवार थामे खड़ा था
और ये शब्द प्यार
तुम्हारे होठों पर
मुस्कराहट की तरह जड़ा था
तुमने इसे किसी भी उद्देश्य से कहा हो
मैंने तो इस शब्द-सुरा को
पूरी तन्मयता से पिया है
संभव है—तुमने फिर
सोचा भी न हो
मैने तो—
पूरी गंभीरता से जिया है।
pyaar
ek bahuuddhrit shabd
ye nira shabd hi to hai
jaise ank hain ganit men
nahin!
main shabd ke sangit ko
pa nahin saka tha
aur arth ki sathon ke paar
ja nahin saka tha
shabd jo bahta hai sadanira sa
shabd jo machalta hai
lay hai
shabd jo ankur hai parajay ka
shabd jo svayan hi jay hai
shabd jo madhumas ko pukar late hain
shabd jo gandh ki nadi se paar aate hain
shabd jo kisi saaj se baj saken
shabd jo kisi ke hothon par saj saken
shabd jo dahakta hai palash sa
shabd jo mahakta hai gulab sa
shabd chahiye jise —
upyukt madhyam upyukt samay
shabd chahiye jise—
upyukt shrota upyukt jagah
jahan se shabd
kisi harsingar sa jhar sake
aur har shabd yachak
apni jholi bhar sake
jab tum pahchan rahi theen
avsar ki upyuktata
main vahin samay ke pravah mein
patvar thame khaDa tha
aur ye shabd pyaar
tumhare hothon par
muskrahat ki tarah jaDa tha
tumne ise kisi bhi uddeshya se kaha ho
mainne to is shabd sura ko
puri tanmayta se piya hai
sambhav hai—tumne phir
socha bhi na ho
maine to—
puri gambhirta se jiya hai.
pyaar
ek bahuuddhrit shabd
ye nira shabd hi to hai
jaise ank hain ganit men
nahin!
main shabd ke sangit ko
pa nahin saka tha
aur arth ki sathon ke paar
ja nahin saka tha
shabd jo bahta hai sadanira sa
shabd jo machalta hai
lay hai
shabd jo ankur hai parajay ka
shabd jo svayan hi jay hai
shabd jo madhumas ko pukar late hain
shabd jo gandh ki nadi se paar aate hain
shabd jo kisi saaj se baj saken
shabd jo kisi ke hothon par saj saken
shabd jo dahakta hai palash sa
shabd jo mahakta hai gulab sa
shabd chahiye jise —
upyukt madhyam upyukt samay
shabd chahiye jise—
upyukt shrota upyukt jagah
jahan se shabd
kisi harsingar sa jhar sake
aur har shabd yachak
apni jholi bhar sake
jab tum pahchan rahi theen
avsar ki upyuktata
main vahin samay ke pravah mein
patvar thame khaDa tha
aur ye shabd pyaar
tumhare hothon par
muskrahat ki tarah jaDa tha
tumne ise kisi bhi uddeshya se kaha ho
mainne to is shabd sura ko
puri tanmayta se piya hai
sambhav hai—tumne phir
socha bhi na ho
maine to—
puri gambhirta se jiya hai.
स्रोत :
पुस्तक : दृष्टि-छाया प्रदेश का कवि (पृष्ठ 24)
रचनाकार : प्रियंकर पालीवाल
प्रकाशन : प्रतिश्रुति प्रकाशन
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.