सवाल प्यार करने या न करने का नहीं था दोस्त
सवाल किसी हाँ या न का भी नहीं था
सवाल तो यह था
कि उन आँखों में हरियाली क्यूँ नहीं थी
और क्यूँ नहीं थी वहाँ
ख़ामोश पत्थरों की जगह
एक बुड़ावदार झील?
सवाल मिलने या न मिलने का नहीं था दोस्त
सवाल ख़ुशी और नाराज़गी का भी नहीं था
सवाल तो यह था
कि एक उदास तख़्ती के लिए क्यूँ नहीं थी
दुनिया भर में कहीं कोई खड़िया मिट्टी
और क्यूँ नहीं थी एक भी दूब
इतने बड़े मैदान में?
सवाल ताल्लुक़ात रखने या मिटा देने का नहीं था दोस्त
सवाल ज़रूरत या ग़ैरज़रूरत का भी नहीं था
सवाल तो यह था कि इतनी बड़ी दुनिया में
कोई इतना अकेला क्यूँ था
और क्यूँ नहीं था उसके पास
एक भी सवाल
इतनी बड़ी दुनिया के लिए?
sawal pyar karne ya na karne ka nahin tha dost
sawal kisi han ya na ka bhi nahin tha
sawal to ye tha
ki un ankhon mein hariyali kyoon nahin thi
aur kyoon nahin thi wahan
khamosh patthron ki jagah
ek buDawdar jheel?
sawal milne ya na milne ka nahin tha dost
sawal khushi aur narazgi ka bhi nahin tha
sawal to ye tha
ki ek udas takhti ke liye kyoon nahin thi
duniya bhar mein kahin koi khaDiya mitti
aur kyoon nahin thi ek bhi doob
itne baDe maidan mein?
sawal talluqat rakhne ya mita dene ka nahin tha dost
sawal zarurat ya ghairazrurat ka bhi nahin tha
sawal to ye tha ki itni baDi duniya mein
koi itna akela kyoon tha
aur kyoon nahin tha uske pas
ek bhi sawal
itni baDi duniya ke liye?

स्रोत :
रचनाकार : घनश्याम कुमार देवांश
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.