सपने उन अनिवार्य नतीजों में से हैं जिन पर हमारा कोई नियंत्रण नहीं होता।
वे हमारे अर्धजीवन को पूर्णता देने के लिए आते हैं। सपने में ही हमें दिखता
है कि हम पहले क्या थे या कि आगे चलकर क्या होंगे। जीवन के एक
गोलार्ध में जब हम हाँफते हुए दौड़ लगा रहे होते हैं तो दूसरे गोलार्ध में
सपने हमें किसी जगह चुपचाप सुलाए रहते हैं।
सपने में हमें पृथ्वी गोल दिखाई देती है जैसा कि हमने बचपन को किताबों
में पढ़ा था। सूरज तेज़ गर्म महसूस होता है और तारे अपने ठंडे प्रकाश में
सिहरते रहते हैं। हम देखते हैं चारों ओर ख़ुशी के पेड़। सामने से एक साइकिल
गुज़रती है या कहीं से रेडियो की आवाज़ सुनाई देती है। सपने में हमें दिखती
हैं अपने जीवन की जड़ें साफ़ पानी में डूबी हुईं। चाँद दिखता है एक छोटे-से
अँधेरे कमरे में चमकता हुआ।
सपने में हम देखते हैं कि हम अच्छे आदमी हैं। देखते हैं एक पुराना टूटा-फूटा
आईना। देखते हैं हमारी नाक से बहकर आ रहा है ख़ून।
sapne un aniwary natijon mein se hain jin par hamara koi niyantran nahin hota
we hamare ardhjiwan ko purnata dene ke liye aate hain sapne mein hi hamein dikhta
hai ki hum pahle kya the ya ki aage chalkar kya honge jiwan ke ek
golardh mein jab hum hanphate hue dauD laga rahe hote hain to dusre golardh mein
sapne hamein kisi jagah chupchap sulaye rahte hain
sapne mein hamein prithwi gol dikhai deti hai jaisa ki hamne bachpan ko kitabon
mein paDha tha suraj tez garm mahsus hota hai aur tare apne thanDe parkash mein
siharte rahte hain hum dekhte hain charon or khushi ke peD samne se ek cycle
guzarti hai ya kahin se radio ki awaz sunai deti hai sapne mein hamein dikhti
hain apne jiwan ki jaDen saf pani mein Dubi huin chand dikhta hai ek chhote se
andhere kamre mein chamakta hua
sapne mein hum dekhte hain ki hum achchhe adami hain dekhte hain ek purana tuta phuta
aina dekhte hain hamari nak se bahkar aa raha hai khoon

स्रोत :
रचनाकार : मंगलेश डबराल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.