अचानक
बहुत बोलता आदमी चुप हो गया
और अचानक एक चुप्पी
अधिक वाचाल
कुछ बातें थीं
कही कुछ अनकही थीं
जाने और लौटने
के तनाव में
कुछ टूट रहा था
कहीं कुछ बचा रह गया था
वो संवाद न था
बहुत वर्षों बाद
गर हम मिलें
शिकायतें न हों
संभव हो तो एक
संवाद की जगह
बची रहे शेष
कुछ बातें कहीं गईं थी
सीधी और सपाट
उन बातों को भी
सोचा गया
सोचने से बातें टेढ़ी हो गईं थी
कई बार
अबोले में
जो संवाद रचे जाते हैं
वो नश्तर की तरह
छलनी करती है करेजे को
दबे पाँव प्रवेश करती है
बिल्ली
सबसे पहले भाषाएँ बदली जाती हैं
सत्ता की
संवाद की प्रथम शर्त भाषा में निहित है
नफ़रत की भाषा
असान है
प्रेम की भाषा और
मनुष्यता की भाषा से
संवाद की सबसे आकर्षक भाषा
और प्रभावी भी
सबसे आसन है
दुनिया का सबसे बेहतर
संवाद का अंत
एक बेहतरीन झूठ है
जिसका जबाब
‘मैं अच्छा हूँ’ है
संवाद का सबसे आत्मीय माध्यम
एकालाप है
संबंधों के फ़रेब से बनता यह संसार
जहाँ जगह नहीं है संवाद की
बातचीत, पंसद-नापसंद, भावनाएँ
ढोंग भर है
संवाद विहीन मंच
आत्म प्रदर्शन, और श्रेष्ठता-बोध का उत्कृष्ट उदाहरण है
जहाँ असहमतियाँ खेल रचती हैं बुद्धि का
संवाद से संवादहीनता की ओर की
इस दौड़ में
हर बार लहूलुहान सिर्फ़
भाषाएँ ही हुई हैं
कि हर बार मरती है एक भाषा
कि आत्मीयता से परे
हर बार निर्मित हुई है
एक नकली और खोखली भाषा
भाषाओं के फ़रेब को रचता है मनुष्य
मनुष्य ने रचा है आसंवाद
achanak
bahut bolta adami chup ho gaya
aur achanak ek chuppi
adhik wachal
kuch baten theen
kahi kuch anakhi theen
anakhi baton mein
main tha
jane aur lautne
ke tanaw mein
kuch toot raha tha
kahin kuch bacha rah gaya tha
wo sanwad na tha
bahut warshon baad
gar hum milen
shikayten na hon
sambhaw ho to ek
sanwad ki jagah
bachi rahe shesh
kuch baten kahin gain thi
sidhi aur sapat
un baton ko bhi
socha gaya
sochne se baten teDhi ho gain thi
kai bar
abole mein
jo sanwad rache jate hain
wo nashtar ki tarah
chhalni karti hai kareje ko
dabe panw prawesh karti hai
billi
chupke se jagah banati hai
sabse pahle bhashayen badli jati hain
satta ki
sanwad ki pratham shart bhasha mein nihit hai
nafar ki bhasha
asan hai
prem ki bhasha aur
manushyata ki bhasha se
sanwad ki sabse akarshak bhasha
aur prabhawi bhi
sabse aasan hai
duniya ka sabse behtar
sanwad ka ant
ek behtarin jhooth hai
jiska jabab
‘main achchha hoon’ hai
sanwad ka sabse atmiy madhyam
ekalap hai
sambandhon ke fareb se banta ye sansar
jahan jagah nahin hai sanwad ki
batachit, pansad napsand, bhawnayen
Dhong bhar hai
sanwad wihin manch
atm pradarshan, aur shreshthta bodh ka utkrisht udaharn hai
jahan asahamatiyan khel rachti hain buddhi ka
sanwad se sanwadhinta ki or ki
is dauD mein
har bar lahuluhan sirf
bhashayen hi hui hain
ki har bar marti hai ek bhasha
ki atmiyata se pare
har bar nirmit hui hai
ek nakli aur khokhli bhasha
bhashaon ke fareb ko rachta hai manushya
manushya ne racha hai asanwad
achanak
bahut bolta adami chup ho gaya
aur achanak ek chuppi
adhik wachal
kuch baten theen
kahi kuch anakhi theen
anakhi baton mein
main tha
jane aur lautne
ke tanaw mein
kuch toot raha tha
kahin kuch bacha rah gaya tha
wo sanwad na tha
bahut warshon baad
gar hum milen
shikayten na hon
sambhaw ho to ek
sanwad ki jagah
bachi rahe shesh
kuch baten kahin gain thi
sidhi aur sapat
un baton ko bhi
socha gaya
sochne se baten teDhi ho gain thi
kai bar
abole mein
jo sanwad rache jate hain
wo nashtar ki tarah
chhalni karti hai kareje ko
dabe panw prawesh karti hai
billi
chupke se jagah banati hai
sabse pahle bhashayen badli jati hain
satta ki
sanwad ki pratham shart bhasha mein nihit hai
nafar ki bhasha
asan hai
prem ki bhasha aur
manushyata ki bhasha se
sanwad ki sabse akarshak bhasha
aur prabhawi bhi
sabse aasan hai
duniya ka sabse behtar
sanwad ka ant
ek behtarin jhooth hai
jiska jabab
‘main achchha hoon’ hai
sanwad ka sabse atmiy madhyam
ekalap hai
sambandhon ke fareb se banta ye sansar
jahan jagah nahin hai sanwad ki
batachit, pansad napsand, bhawnayen
Dhong bhar hai
sanwad wihin manch
atm pradarshan, aur shreshthta bodh ka utkrisht udaharn hai
jahan asahamatiyan khel rachti hain buddhi ka
sanwad se sanwadhinta ki or ki
is dauD mein
har bar lahuluhan sirf
bhashayen hi hui hain
ki har bar marti hai ek bhasha
ki atmiyata se pare
har bar nirmit hui hai
ek nakli aur khokhli bhasha
bhashaon ke fareb ko rachta hai manushya
manushya ne racha hai asanwad
स्रोत :
पुस्तक : पूर्वग्रह 166-67 (पृष्ठ 215)
संपादक : प्रेमशंकर शुक्ल
रचनाकार : कुमार मंगलम
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.