शब्द आगे बढ़ते तो हैं
लेकिन संशय के साथ
जैसे उन्हें पूर्व में ही विदित हो कि
जब दो लोगों के बीच का मौन
अनसुना होने लग जाए
तब शब्द भी अबल हो जाते हैं।
यही कारण है कि
बीच रास्ते में ही अब
सब संवाद भर-भराकर गिर जाते हैं।
यूँ भी शब्दों के अर्थ
कहने वाले से अधिक
सुनने वाले की मनोदशा पर
निर्भर करते हैं
पूर्व में अनेकों बार
मेरी नासमझियों पर
निष्कलुष ठहाका लगाते हुए तुमने
अंक में भर कहा—पगली हो तुम!
तब तुम्हारे सीने से टिक
आँखें बंदकर दुनिया को बिसरा देना
सबसे बड़ी समझदारी लगती थी।
आज संवादों की अवसन्नता से
आहत मन सोचता है कि
काश तब खुली रखी होती आँखें
या आज तुम्हारे तंज
अधिक समझदार हो गई हो!
सुनकर, उसी सहजता से
तुम्हारे सीने में मुँह छुपा
महसूस कर पाती
तुम्हारे अधरों का कोमल स्पर्श,
मौन के संगीत की कोई अनुगूँज
दोनों को अब तक जाने से रोके है
इस स्वर के भी निष्प्राण होने से पूर्व
आओ मेरी आत्मा पर अंकित
अपने सभी चिह्न वापस ले लो!
राहें पृथक करने से पहले
स्मृतियों का उचित बँटवारा
आवश्यक जो है।
shabd aage baDhte to hain
lekin sanshay ke saath
jaise unhen poorv mein hi vidit ho ki
jab do logon ke beech ka maun
ansuna hone lag jaye
tab shabd bhi abal ho jate hain.
yahi karan hai ki
beech raste mein hi ab
sab sanvad bhar bharakar gir jate hain.
yoon bhi shabdon ke arth
kahne vale se adhik
sunne vale ki manodasha par
nirbhar karte hain
poorv mein anekon baar
meri nasamajhiyon par
nishkalush thahaka lagate hue tumne
ank mein bhar kaha—pagli ho tum!
tab tumhare sine se tik
ankhen bandkar duniya ko bisra dena
sabse baDi samajhdari lagti thi.
aaj sanvadon ki avsannta se
aahat man sochta hai ki
kaash tab khuli rakhi hoti ankhen
ya aaj tumhare tanj
adhik samajhdar ho gai ho!
sunkar, usi sahajta se
tumhare sine mein munh chhupa
mahsus kar pati
tumhare adhron ka komal sparsh,
maun ke sangit ki koi anugunj
donon ko ab tak jane se roke hai
is svar ke bhi nishpran hone se poorv
aao meri aatma par ankit
apne sabhi chihn vapas le lo!
rahen prithak karne se pahle
smritiyon ka uchit bantvara
avashyak jo hai.
shabd aage baDhte to hain
lekin sanshay ke saath
jaise unhen poorv mein hi vidit ho ki
jab do logon ke beech ka maun
ansuna hone lag jaye
tab shabd bhi abal ho jate hain.
yahi karan hai ki
beech raste mein hi ab
sab sanvad bhar bharakar gir jate hain.
yoon bhi shabdon ke arth
kahne vale se adhik
sunne vale ki manodasha par
nirbhar karte hain
poorv mein anekon baar
meri nasamajhiyon par
nishkalush thahaka lagate hue tumne
ank mein bhar kaha—pagli ho tum!
tab tumhare sine se tik
ankhen bandkar duniya ko bisra dena
sabse baDi samajhdari lagti thi.
aaj sanvadon ki avsannta se
aahat man sochta hai ki
kaash tab khuli rakhi hoti ankhen
ya aaj tumhare tanj
adhik samajhdar ho gai ho!
sunkar, usi sahajta se
tumhare sine mein munh chhupa
mahsus kar pati
tumhare adhron ka komal sparsh,
maun ke sangit ki koi anugunj
donon ko ab tak jane se roke hai
is svar ke bhi nishpran hone se poorv
aao meri aatma par ankit
apne sabhi chihn vapas le lo!
rahen prithak karne se pahle
smritiyon ka uchit bantvara
avashyak jo hai.
स्रोत :
रचनाकार : निधि अग्रवाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.