301
जहाँ चले वश क्रोध का, कर उसका अवरोध।
अवश क्रोध का क्या किया, क्या न किया उपरोध॥
302
वश न चले जब क्रोध का, तब है क्रोध ख़राब।
अगर चले वश फिर वही, सबसे रहा ख़राब॥
303
किसी व्यक्ति पर भी कभी, क्रोध न कर, जा भूल।
क्योंकि अनर्थों का वही, क्रोध बनेगा मूल॥
304
हास और उल्लास को, हनन करेगा क्रोध।
उससे बढ़ कर कौन है, रिपु जो करे विरोध॥
305
रक्षा हित अपनी स्वयं, बचो क्रोध से साफ़।
यदि न बचो तो क्रोध ही, तुम्हें करेगा साफ़॥
306
आश्रित जन का नाश जो, करे क्रोध की आग।
इष्ट-बन्धु-जन-नाव को, जलायगी वह आग॥
307
मान्य वस्तु सम क्रोध को, जो माने वह जाय।
हाथ मार ज्यों भूमि पर, चोट से न बच जाय॥
308
अग्निज्वाला जलन ज्यों, किया अनिष्ट यथेष्ट।
फिर भी यदि संभव हुआ, क्रोध-दमन है श्रेष्ठ॥
309
जो मन में नहिं लायगा, कभी क्रोध का ख़याल।
मनचाही सब वस्तुएँ, उसे प्राप्य तत्काल॥
310
जो होते अति क्रोधवश, हैं वे मृतक समान।
त्यागी हैं जो क्रोध के, त्यक्त-मृत्यु सम मान॥
301
jahan chale vash krodh ka, kar uska avrodh.
avash krodh ka kya kiya, kya na kiya uprodh॥
302
vash na chale jab krodh ka, tab hai krodh kharab.
agar chale bash phir vahi, sabse raha kharab॥
303
kisi vekti par bhi kabhi, krodh na kar, ja bhool.
kyonki anarthon ka vahi, krodh banega mool॥
304
haas aur ullaas ko, hanan karega krodh.
usse baDh kar kaun hai, ripu jo kare virodh॥
305
rakhsha hit apni svayan, bacho krodh se saaf.
yadi na bacho to krodh hi, tumhein karega saaf॥
306
ashrit jan ka naash jo, kare krodh ki aag.
isht bandhu jan naav ko, jalaygi wo aag॥
307
maany vastu sam krodh ko, jo mane wo jaay.
haath maar jyon bhumi par, chot se na bach jaay॥
308
agnijvala jalan jyon, kiya anisht yathesht.
phir bhi yadi sambhav hua, krodh daman hai shreshth॥
309
jo man mein nahin layga, kabhi krodh ka khyaal.
manchahi sab vastuen, use praapy tatkal॥
310
jo hote ati krodhavash, hain ve mritak saman.
tyagi hain jo krodh ke, tyakt mirtyu sam maan॥

स्रोत :
पुस्तक : तिरुक्कुरल : भाग 1 - धर्म-कांड
रचनाकार : तिरुवल्लुवर
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.