जहाँ मति और गति प्रतिक्षण नवीन से नवीनतर होती रहती हैं,
ऐसे प्रत्येक नवीन विचारशील युग में काव्य भी नवीन क्यों न हो?
संस्कृत-पंड़ितों में एक विचित्र प्रकार का महारोग बढ़ गया है, जिसके
कारण उनमें कोई नवीनता नहीं देखी जाती; इसलिए हितैषियों द्वारा वह
तुरंत शांत किया जाना चाहिए।
आत्म-विश्वास से हीन मनोवृत्ति तथा पराधीन बुद्धि वाला यह कोई महान्
रोग है, जो नूतन विकास में बाधक तथा साहित्य की श्रीवृद्धि का विनाशक
है।
उस रोग के कारण हमने अपनी मूर्खता से भारत की श्रेष्ठ संस्कृति को
धुएँ से ढक दिया है। विज्ञजनों को चाहिए कि उसे किसी महातेजस्वी सत्य
द्वारा शीघ्र प्रज्वलित करें।
किंतु हत्या में संलग्न, दुर्भावनाओं से जलते हुए तथा एक-दूसरे की
निंदा में तत्पर मनुष्यों की दशा देखकर मैं संसार में किसकी स्तुति करूँ और
किसकी निंदा?
आज भी गाढ़े अंधकार में क्षीण होती हुई प्रकाश की रेखा चमक
रही है तो वह संस्कृत की संस्कृति में ही है। अदृश्य होने से पहले ही उसकी
रक्षा करनी चाहिए।
संस्कृत के उन पंड़ित-प्रवरों की जय हो, जो अपने ज्ञान के कारण
उज्ज्वल हैं, जो शाश्वत दृष्टि से युक्त हैं तथा जिन्होंने हमारे भारत के गौरव
को, सैकड़ों बार अनार्यों द्वारा आक्रांत किए जाने पर भी, सुरक्षित रखा।
jahan mati aur gati pratikshan navin se navintar hoti rahti hain,
aise pratyek navin vicharashil yug mein kaavy bhi navin kyon na ho?
sanskrit panDiton mein ek vichitr prakar ka maharog baDh gaya hai, jiske
karan unmen koi navinata nahin dekhi jati; isliye hitaishiyon dvara wo
turant shaant kiya jana chahiye.
aatm vishvas se heen manovritti tatha paradhin buddhi vala ye koi mahan
rog hai, jo nutan vikas mein badhak tatha sahity ki shri vriddhi ka vinashak
hai.
us rog ke karan hamne apni murkhata se bharat ki shreshth sanskriti ko
dhuen se Dhak diya hai. vigyajnon ko chahiye ki use kisi mahatejasvi saty
dvara sheeghr prajvalit kare.
kintu hattya mein sanlagn, durbhavnaon se jalte hue tatha ek dusre ki
ninda mein tatpar manushyon ki dasha dekhkar main sansar mein kiski istuti karun aur
kiski ninda?
aaj bhi gaDhe andhkar mein kshain hoti hui parkash ki rekha chamak
rahi hai to wo sanskrit ki sanskriti mein hi hai. adrshy hone se pahle hi uski
rakhsha karni chahiye.
sanskrit ke un panDit pravro ki jay ho, jo apne gyaan ke karan
ujjval hain, jo shashvat drishti se yukt hai tatha jinhonne hamare bharat ke gaurav
ko, saikDon baar anaryon dvara akrant kiye jane par bhi, surakshait rakha.

स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 717)
रचनाकार : विद्याधर शास्त्री
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.