कभी-कभी तो
सूर्योदय नहीं होता
साँप-सा गिरता है सूरज कंधों पर
और रेंगता-सरकता रहता है
गर्दन के इर्द-गिर्द
दिन-भर
साँप और चोर की दस्तक बुरी है
फ़र्क क्या है साँप और चोर में
साँप नहीं
शायद चोर ही है
चुरा लिया जिसने मेरा दिन
और दिल भी..
दिन, कि जिसमें
माँ से आशीर्वाद लेने का समय था
और दोस्त की बात से
सहमति जताने की फ़ुर्सत भी
और पत्नी की कोसी धूप में
बैठने को इकरार भी था
और दिल जिसमें धैर्य था
उम्मीद भी...
साँप जब सरकता है
मुर्दा चेतना को
अपने अस्तित्व का स्वप्न आता है
सपने में
साँप के शरीर पर चमकती धारियाँ
सूर्य की किरणें
और चारों तरफ़ एक चकाचौंध
शिखर दोपहर का मुग़ालता डालता
भूल जाता कोई
कि यह नंगा शरीर
मीठी-सी धूप का नशा है
अथवा मीठी-मीठी ज़हर का असर
इस तरह आलस्य में आए तुम
तो एक साँप
तुम्हारे साथ भी था
साँप से साँप मिला
हम तो मूर्छित थे
मूर्च्छित सी अवस्था में
जैसे कोई कुएँ में से बोलता है
मैंने पूछा था
उसका क्या हाल है आजकल?
उसी तरह
मेरी आवाज़ में
तूने कहा था
वह तो आस्तीन का साँप निकला।
kabhi kabhi to
suryoday nahin hota
sanp sa girta hai suraj kandhon par
aur rengta sarakta rahta hai
gardan ke ird gird
din bhar
sanp aur chor ki dastak buri hai
fark kya hai sanp aur chor mein
sanp nahin
shayad chor hi hai
chura liya jisne mera din
aur dil bhi
din, ki jismen
man se ashirwad lene ka samay tha
aur dost ki baat se
sahamti jatane ki fursat bhi
aur patni ki kosi dhoop mein
baithne ko ikrar bhi tha
aur dil jismen dhairya tha
ummid bhi
sanp jab sarakta hai
murda chetna ko
apne astitw ka swapn aata hai
sapne mein
sanp ke sharir par chamakti dhariyan
surya ki kirnen
aur charon taraf ek chakachaundh
sikhar dopahar ka mughalata Dalta
bhool jata koi
ki ye nanga sharir
mithi si dhoop ka nasha hai
athwa mithi mithi jahar ka asar
is tarah alasy mein aaye tum
to ek sanp
tumhare sath bhi tha
sanp se sanp mila
hum to murchhit the
murchchhit si awastha mein
jaise koi kuen mein se bolta hai
mainne puchha tha
uska kya haal hai ajkal?
usi tarah
meri awaz mein
tune kaha tha
wo to astin ka sanp nikla
kabhi kabhi to
suryoday nahin hota
sanp sa girta hai suraj kandhon par
aur rengta sarakta rahta hai
gardan ke ird gird
din bhar
sanp aur chor ki dastak buri hai
fark kya hai sanp aur chor mein
sanp nahin
shayad chor hi hai
chura liya jisne mera din
aur dil bhi
din, ki jismen
man se ashirwad lene ka samay tha
aur dost ki baat se
sahamti jatane ki fursat bhi
aur patni ki kosi dhoop mein
baithne ko ikrar bhi tha
aur dil jismen dhairya tha
ummid bhi
sanp jab sarakta hai
murda chetna ko
apne astitw ka swapn aata hai
sapne mein
sanp ke sharir par chamakti dhariyan
surya ki kirnen
aur charon taraf ek chakachaundh
sikhar dopahar ka mughalata Dalta
bhool jata koi
ki ye nanga sharir
mithi si dhoop ka nasha hai
athwa mithi mithi jahar ka asar
is tarah alasy mein aaye tum
to ek sanp
tumhare sath bhi tha
sanp se sanp mila
hum to murchhit the
murchchhit si awastha mein
jaise koi kuen mein se bolta hai
mainne puchha tha
uska kya haal hai ajkal?
usi tarah
meri awaz mein
tune kaha tha
wo to astin ka sanp nikla
स्रोत :
पुस्तक : बीसवीं सदी का पंजाबी काव्य (पृष्ठ 448)
संपादक : सुतिंदर सिंह नूर
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक फूलचंद मानव, योगेश्वर कौर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.