संघर्षों के इन तंतुओं को बन बवंडर उड़ा देता हूँ
जीवन के द्वंद से निकल जब कभी बाहर आता हूँ
लगता है समाज को कि कोई सुदृढ़ नर आया है
जिसने विषम स्थितियों में अपना झंडा फहराया है
किंतु ये समाज आख़िर सफल को क्यों है पूजता?
वो असफल नर भी तो आदर-सम्मान के हक़दार हैं
प्रतिपल, प्रतिक्षण लगकर भी जो चूके ध्येय पथ से
क्यों नहीं उनका अस्तित्व व समाज में सम्मान है?
कैसा पैमाना है पूछ का, कैसा ये संबंधों का भाव है?
कैसी ओछी मानसिकता है, जहाँ प्रतिष्ठा पर दाँव है?
वसुधैव कुटुंब के विचार का बस क्या यही नवरूप है?
समाज तो अन्योन्य विचारों के मार्तंड का स्वरूप है
वेदनाओं के मौन को जो अपने निज दीप्त चक्षुओं से
कर अभिज्ञान समरसता का फसल बोते ही रहता है
गाँठ बाँध लो कि विपत्तियों में जो न डिगता अक्ष से
उसे ही तो यह समाज स्थिर व धीरपुरुष कहता है
जिसके लिए पर की भावना स्वं के दंभ से भी ऊपर है
जिसको दूसरों की पीड़ा बड़ी सहजता से दृष्टिगोचर है
जो संसाधनों को समूल समाज में यूँ ही सबको देता है
वही तो इस अनंत आकाश को भींच मुठ्ठी भर लेता है
sangharshon ke in tantuon ko ban bavanDar uDa deta hoon
jivan ke dvand se nikal jab kabhi bahar aata hoon
lagta hai samaj ko ki koi sudriDh nar aaya hai
jisne visham sthitiyon mein apna jhanDa phahraya hai
kintu ye samaj akhir saphal ko kyon hai pujta?
wo asaphal nar bhi to aadar samman ke haqdar hain
pratipal, prtikshan lagkar bhi jo chuke dhyey path se
kyon nahin unka astitv va samaj mein samman hai?
kaisa paimana hai poochh ka, kaisa ye sambandhon ka bhaav hai?
kaisi ochhi manasikta hai, jahan pratishtha par daanv hai?
vasudhaiv kutumb ke vichar ka bas kya yahi navrup hai?
samaj to anyonya vicharon ke martanD ka svarup hai
vednaon ke maun ko jo apne nij deept chakshuon se
kar abhigyan samrasta ka phasal bote hi rahta hai
gaanth baandh lo ki vipattiyon mein jo na Digta aksh se
use hi to ye samaj sthir va dhirapurush kahta hai
jiske liye par ki bhavna svan ke dambh se bhi uupar hai
jisko dusron ki piDa baDi sahajta se drishtigochar hai
jo sansadhnon ko samul samaj mein yoon hi sabko deta hai
vahi to is anant akash ko bheench muththi bhar leta hai

स्रोत :
रचनाकार : उद्भव सिंह शांडिल्य
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.