हमेशा नदी से रखना
एक नम अपेक्षा
समय पड़ने पर पानी ही नहीं
स्मृतियों से भी तर कर देगी धार उसकी
पहाड़ से रखना एक दृढ़ लालसा
वह बूढ़े बाबा-सा हथेली पर रखेगा
मुलायम बर्फ़ के फाहे
ताज़ा हो जाओगे भीतर तक
उड़ते बादलों से भी बाँधना डोर
तरल उम्मीदों की
बरसें या न बरसें
भविष्य की हर तस्वीर में बहेगा उनका ही रंग
जंगलों से ज़रूर रखना रिश्ता
भय का नहीं अपनत्व का
फलेगा वो तुममें
जीवन की हज़ार नेमतें बनकर
मुँह मत मोड़ना रेगिस्तानों से कभी भी
नापना उसकी गर्म देह
उग आएगी तलवों में जिजीविषा की गहरी लकीर
चलते हुए उस पर
समुद्र देखकर नाव बाँध मत देना किनारे
वंचित रह जाओगे
कई तूफ़ानों की दोस्ती से
सबको नहीं मिलता लहरों का आमंत्रण
मिलना दुश्मनों से तो भी
रखना नज़रों में तल्ख़ी से अधिक प्रेम व करुणा
कोई गांधी बता गया है कि
इनसे ही मिटती है कटुता और मिलती है स्वतंत्रता।
hamesha nadi se rakhna
ek nam apeksha
samay paDne par pani hi nahin
smritiyon se bhi tar kar degi dhaar uski
pahaD se rakhna ek driDh lalsa
wo buDhe baba sa hatheli par rakhega
mulayam barf ke phahe
taza ho jaoge bhitar tak
uDte badalon se bhi bandhna Dor
taral ummidon ki
barsen ya na barsen
bhavishya ki har tasvir mein bahega unka hi rang
jangalon se zarur rakhna rishta
bhay ka nahin apnatv ka
phalega wo tummen
jivan ki hazar nemten bankar
munh mat moDna registanon se kabhi bhi
napna uski garm deh
ug ayegi talvon mein jijivisha ki gahri lakir
chalte hue us par
samudr dekhkar naav baandh mat dena kinare
vanchit rah jaoge
kai tufanon ki dosti se
sabko nahin milta lahron ka amantran
milna dushmanon se to bhi
rakhna nazron mein talkhi se adhik prem va karuna
koi gandhi bata gaya hai ki
inse hi mitti hai katuta aur milti hai svatantrata.
hamesha nadi se rakhna
ek nam apeksha
samay paDne par pani hi nahin
smritiyon se bhi tar kar degi dhaar uski
pahaD se rakhna ek driDh lalsa
wo buDhe baba sa hatheli par rakhega
mulayam barf ke phahe
taza ho jaoge bhitar tak
uDte badalon se bhi bandhna Dor
taral ummidon ki
barsen ya na barsen
bhavishya ki har tasvir mein bahega unka hi rang
jangalon se zarur rakhna rishta
bhay ka nahin apnatv ka
phalega wo tummen
jivan ki hazar nemten bankar
munh mat moDna registanon se kabhi bhi
napna uski garm deh
ug ayegi talvon mein jijivisha ki gahri lakir
chalte hue us par
samudr dekhkar naav baandh mat dena kinare
vanchit rah jaoge
kai tufanon ki dosti se
sabko nahin milta lahron ka amantran
milna dushmanon se to bhi
rakhna nazron mein talkhi se adhik prem va karuna
koi gandhi bata gaya hai ki
inse hi mitti hai katuta aur milti hai svatantrata.
स्रोत :
रचनाकार : आलोक कुमार मिश्रा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.