तुम बुरे समय पर निगाह रखो
क्योंकि वह है तुम्हारी ताक में
तुम रहो अधिकाधिक संवेदनशील
ताकि रचे जा सकें शब्द।
इससे पहले कि समय तुम पर
झपट्टा मारकर दबोच ले तुम्हारा मुँह
तुम रहो सतर्क और दर्ज करो उसके रूप-रंग
ताकि उसे किया जा सके गिरफ़्तार।
तुम निष्कपट दृष्टि से देखो उस आदमी को
जो बुरे समय के पक्ष में
दर्ज कर रहा है अपने दस्तख़त
तुम दर्ज करो कि वह आदमी
कब से पैना कर रहा है अपनों के ख़िलाफ़ चाक़ू।
तुम कभी यक़ीन मत करो कि
समय सभी को कर देता है पराजित
क्योंकि मैं देखता हूँ कभी-कभी आदमी को
समय से बहुत आगे निकल जाते हुए।
तुम अब समय को पछाड़कर
उसके ऊपर दर्ज करो अपनी विजय
और अपने समय के लोगों को बताओ
कि कैसे पछाड़ा जाता है बुरे समय को।
तुम बुरे समय में खोई हुई वस्तुओं को मत खोजो
बल्कि करो आग को प्रज्वलित
और उसकी रोशनी में
बुरे समय को करो दृष्टिगोचर।
देखो कि नीला आकाश कैसे मटमैला हो जाता है
दिशाएँ कैसे भर जाती हैं धुँध से
बुरे समय में आदमी कैसे हो जाता है दिशाहीन
अकाल पृथ्वी पर कब पसारने लग जाता है अपने पाँव।
हाँ बुरे समय में तुम मृत लोगों की तलाश मत करो
बल्कि प्रकाश में देखो बुरे समय को
और उसके ख़िलाफ़
कार्रवाई की करो एक ताज़ा शुरुआत।
tum bure samay par nigah rakho
kyonki wo hai tumhari tak mein
tum raho adhikadhik sanwedanshil
taki rache ja saken shabd
isse pahle ki samay tum par
jhapatta markar daboch le tumhara munh
tum raho satark aur darj karo uske roop rang
taki use kiya ja sake giraftar
tum nishkapat drishti se dekho us adami ko
jo bure samay ke paksh mein
darj kar raha hai apne dastakhat
tum darj karo ki wo adami
kab se paina kar raha hai apnon ke khilaf chaqu
tum kabhi yaqin mat karo ki
samay sabhi ko kar deta hai parajit
kyonki main dekhta hoon kabhi kabhi adami ko
samay se bahut aage nikal jate hue
tum ab samay ko pachhaDkar
uske upar darj karo apni wijay
aur apne samay ke logon ko batao
ki kaise pachhaDa jata hai bure samay ko
tum bure samay mein khoi hui wastuon ko mat khojo
balki karo aag ko prajwalit
aur uski roshni mein
bure samay ko karo drishtigochar
dekho ki nila akash kaise matmaila ho jata hai
dishayen kaise bhar jati hain dhundh se
bure samay mein adami kaise ho jata hai dishahin
akal prithwi par kab pasarne lag jata hai apne panw
han bure samay mein tum mrit logon ki talash mat karo
balki parkash mein dekho bure samay ko
aur uske khilaf
karrwai ki karo ek taza shuruat
tum bure samay par nigah rakho
kyonki wo hai tumhari tak mein
tum raho adhikadhik sanwedanshil
taki rache ja saken shabd
isse pahle ki samay tum par
jhapatta markar daboch le tumhara munh
tum raho satark aur darj karo uske roop rang
taki use kiya ja sake giraftar
tum nishkapat drishti se dekho us adami ko
jo bure samay ke paksh mein
darj kar raha hai apne dastakhat
tum darj karo ki wo adami
kab se paina kar raha hai apnon ke khilaf chaqu
tum kabhi yaqin mat karo ki
samay sabhi ko kar deta hai parajit
kyonki main dekhta hoon kabhi kabhi adami ko
samay se bahut aage nikal jate hue
tum ab samay ko pachhaDkar
uske upar darj karo apni wijay
aur apne samay ke logon ko batao
ki kaise pachhaDa jata hai bure samay ko
tum bure samay mein khoi hui wastuon ko mat khojo
balki karo aag ko prajwalit
aur uski roshni mein
bure samay ko karo drishtigochar
dekho ki nila akash kaise matmaila ho jata hai
dishayen kaise bhar jati hain dhundh se
bure samay mein adami kaise ho jata hai dishahin
akal prithwi par kab pasarne lag jata hai apne panw
han bure samay mein tum mrit logon ki talash mat karo
balki parkash mein dekho bure samay ko
aur uske khilaf
karrwai ki karo ek taza shuruat
स्रोत :
पुस्तक : इस नाउम्मीदी की कायनात में (पांडुलिपि)
रचनाकार : ऋतु कुमार ऋतु
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.