समय,
जो सभी के आकार में होकर ही
अपने आकार का होता है
जो दीवारों को जोड़कर भी
शेष कभी नहीं छोड़ता—
उतरता है आस-पास
और गरम लू की सीटियों से
मुझे चीरता हुआ निकल जाता है
निकलता कहीं नहीं होता
और होना—
यहाँ से वहाँ तक
आँखों—
हज़ारों-करोड़ों आँखों
को छीलता हुआ
आगे बढ़ता है
मेरी सामर्थ्य!
बीज उठते पौधों में
साँस लेती है
और आँखों में—
कहीं से उठे हुए
आकाश से गिरते शब्दों में
समय को देखती है गुज़रते हुए
देखना कोई फल की तरह
टूटता नहीं—अलग नहीं होता
इतिहास हवा में—
झीने वस्त्र की तरह काँपता है
और—
रहकर भी, रहता नहीं
फहरकर भी, बचता नहीं—
बढ़ने से
कोई कौन जाने!
पानी की बेचैन दूरी
और पत्थर की गहराई के कष्ट को
और मरने की तरह
ज़िंदगी में पड़े रहने के वश को
ज्यों—
थूँथन के बल पर चलना
और पंजों और पैरों के बल पर
सपाट हो जाना
ख़ुद अपने ही हाथों के आस-पास हो जाना
और अपनी ही पकड़ में जाने के लिए
झटक कर बिखर जाना
यह कैसा हो गया हूँ मैं
कि समय की पहचान में
अपनी ख़ुद की बेपहचान से
घिर गया हूँ ?
या आग की लकीर की तरह
जलते जाने का वक़्त हो गया हूँ
samay,
jo sabhi ke akar mein hokar hi
apne akar ka hota hai
jo diwaron ko joDkar bhi
shesh kabhi nahin chhoDta—
utarta hai aas pas
aur garam lu ki sitiyon se
mujhe chirta hua nikal jata hai
nikalta kahin nahin hota
aur hona—
yahan se wahan tak
ankhon—
hazaron karoDon ankhon
ko chhilta hua
age baDhta hai
meri samarthy!
beej uthte paudhon mein
sans leti hai
aur ankhon mein—
kahin se uthe hue
akash se girte shabdon mein
samay ko dekhti hai guzarte hue
dekhana koi phal ki tarah
tutta nahin—alag nahin hota
itihas hawa mein—
jhine wastra ki tarah kanpta hai
aur—
rahkar bhi, rahta nahin
phaharkar bhi, bachta nahin—
baDhne se
koi kaun jane!
pani ki bechain duri
aur patthar ki gahrai ke kasht ko
aur marne ki tarah
zindagi mein paDe rahne ke wash ko
jyon—
thunthan ke bal par chalna
aur panjon aur pairon ke bal par
sapat ho jana
khu apne hi hathon ke aas pas ho jana
aur apni hi pakaD mein jane ke liye
jhatak kar bikhar jana
ye kaisa ho gaya hoon main
ki samay ki pahchan mein
apni khu ki bepahchan se
ghir gaya hoon ?
ya aag ki lakir ki tarah
jalte jane ka waqt ho gaya hoon
samay,
jo sabhi ke akar mein hokar hi
apne akar ka hota hai
jo diwaron ko joDkar bhi
shesh kabhi nahin chhoDta—
utarta hai aas pas
aur garam lu ki sitiyon se
mujhe chirta hua nikal jata hai
nikalta kahin nahin hota
aur hona—
yahan se wahan tak
ankhon—
hazaron karoDon ankhon
ko chhilta hua
age baDhta hai
meri samarthy!
beej uthte paudhon mein
sans leti hai
aur ankhon mein—
kahin se uthe hue
akash se girte shabdon mein
samay ko dekhti hai guzarte hue
dekhana koi phal ki tarah
tutta nahin—alag nahin hota
itihas hawa mein—
jhine wastra ki tarah kanpta hai
aur—
rahkar bhi, rahta nahin
phaharkar bhi, bachta nahin—
baDhne se
koi kaun jane!
pani ki bechain duri
aur patthar ki gahrai ke kasht ko
aur marne ki tarah
zindagi mein paDe rahne ke wash ko
jyon—
thunthan ke bal par chalna
aur panjon aur pairon ke bal par
sapat ho jana
khu apne hi hathon ke aas pas ho jana
aur apni hi pakaD mein jane ke liye
jhatak kar bikhar jana
ye kaisa ho gaya hoon main
ki samay ki pahchan mein
apni khu ki bepahchan se
ghir gaya hoon ?
ya aag ki lakir ki tarah
jalte jane ka waqt ho gaya hoon
स्रोत :
रचनाकार : मलय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.