इक्कीसवीं सदी में
बीसवीं सदी का एक युवक
बता रहा था अपने पिता की कहानी
बता रहा था
हम लोग हिम्मत ही नहीं जुटा पाते थे
पिता के सामने
कह सकने को अपने मन की कोई बात
कभी कह ही नहीं पाए
साइंस नहीं सोशल साइंस पढ़ेंगे
मैं करता हूँ किसी से प्रेम
मुझे अभी नहीं करना विवाह
बावजूद इसके पिता
पिता ही होते
वह घर में बोझ नहीं होते
उनकी उपस्थिति ही
घर की किलकारी होती
घर में अनुभव का टकसाल
भीगी आँखों से बताया
पहली बार जब वह छोड़ा था घर
पिता स्टेशन तक आए थे
उनका चेहरा उदास था और आँखें गीली
वह गले मिलना चाहता था
जैसे मिल लेता है उनका बेटा
पिता का स्पर्श मेरे लिए तभी संभव था
जब उनके चरण छूते थे मेरे हाथ
और उनका हाथ होता था मेरे पीठ पर
बीसवीं सदी के पुत्र
अब जब बन चुके हैं पिता
अपने पुत्रों पर बन रहें हैं बोझ
इक्कीसवीं सदी के बेटे
डॉलर और रुपए की बहस में
छोड़ रहें हैं अपना गाँव, अपना घर
पिता की स्मृतियों और वस्तुओं को
पुरातनता का प्रतीक बताते हुए
पिता की ही तरह उन्हें कर रहें हैं बेदख़ल
ikkisvin sadi men
bisvin sadi ka ek yuvak
bata raha tha apne pita ki kahani
bata raha tha
hum log himmat hi nahin juta pate the
pita ke samne
kah sakne ko apne man ki koi baat
kabhi kah hi nahin pae
science nahin social science paDhenge
main karta hoon kisi se prem
mujhe abhi nahin karna vivah
bavjud iske pita
pita hi hote
wo ghar mein bojh nahin hote
unki upasthiti hi
ghar ki kilkari hoti
ghar mein anubhav ka taksal
bhigi ankhon se bataya
pahli baar jab wo chhoDa tha ghar
pita station tak aaye the
unka chehra udaas tha aur ankhen gili
wo gale milna chahta tha
jaise mil leta hai unka beta
pita ka sparsh mere liye tabhi sambhav tha
jab unke charn chhute the mere haath
aur unka haath hota tha mere peeth par
bisvin sadi ke putr
ab jab ban chuke hain pita
apne putron par ban rahen hain bojh
ikkisvin sadi ke bete
dollar aur rupae ki bahs men
chhoD rahen hain apna gaanv, apna ghar
pita ki smritiyon aur vastuon ko
puratanta ka pratik batate hue
pita ki hi tarah unhen kar rahen hain bedkhal
ikkisvin sadi men
bisvin sadi ka ek yuvak
bata raha tha apne pita ki kahani
bata raha tha
hum log himmat hi nahin juta pate the
pita ke samne
kah sakne ko apne man ki koi baat
kabhi kah hi nahin pae
science nahin social science paDhenge
main karta hoon kisi se prem
mujhe abhi nahin karna vivah
bavjud iske pita
pita hi hote
wo ghar mein bojh nahin hote
unki upasthiti hi
ghar ki kilkari hoti
ghar mein anubhav ka taksal
bhigi ankhon se bataya
pahli baar jab wo chhoDa tha ghar
pita station tak aaye the
unka chehra udaas tha aur ankhen gili
wo gale milna chahta tha
jaise mil leta hai unka beta
pita ka sparsh mere liye tabhi sambhav tha
jab unke charn chhute the mere haath
aur unka haath hota tha mere peeth par
bisvin sadi ke putr
ab jab ban chuke hain pita
apne putron par ban rahen hain bojh
ikkisvin sadi ke bete
dollar aur rupae ki bahs men
chhoD rahen hain apna gaanv, apna ghar
pita ki smritiyon aur vastuon ko
puratanta ka pratik batate hue
pita ki hi tarah unhen kar rahen hain bedkhal
स्रोत :
रचनाकार : धीरेंद्र 'धवल'
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.