एक आदमी ख़ुश होता है
चलता हुआ धरती पर
देखता है जंगल, पहाड़, खेत
नदी की तरह बहता है
मिलता है धूल से
पशु-पक्षी और मुझसे
करता है दो बात
मंद-मंद
फैलती हैं ख़ुशियाँ तमाम।
हारा-थका मैं, ख़ुशियों से भर जाता हूँ
थोड़ा तेज़ चलता हूँ
पृथ्वी को सहलाता
सड़क पर झुकी टहनी
छूता उछल-उछल
थपथपाता बच्चों को
चाहता हूँ, दुनिया को, बाँध लेना बाँहों में।
इंतज़ार करती लड़की को
चूमती हैं दिशाएँ
हवा में उड़ती उसकी लटें
सँवार देना चाहता हूँ।
भागमभाग के बीच
धीरे से छूती हैं हमें
बूढ़ी, ठंडी उँगलियाँ
उन्हें अपनी थोड़ी-सी जगह देता हूँ
जाता हूँ जहाँ भी
समय से उदास लोगों के बीच
उन्हें थोड़ा-सा हिला देता हूँ
धरती पर, गगन बीच।
ek adami khush hota hai
chalta hua dharti par
dekhta hai jangal, pahaD, khet
nadi ki tarah bahta hai
milta hai dhool se
pashu pakshi aur mujhse
karta hai do baat
mand mand
phailti hain khushiyan tamam
hara thaka main, khushiyon se bhar jata hoon
thoDa tez chalta hoon
prithwi ko sahlata
saDak par jhuki tahni
chhuta uchhal uchhal
thapthapata bachchon ko
chahta hoon, duniya ko, bandh lena banhon mein
intzar karti laDki ko
chumti hain dishayen
hawa mein uDti uski laten
sanwar dena chahta hoon
bhagambhag ke beech
dhire se chhuti hain hamein
buDhi, thanDi ungliyan
unhen apni thoDi si jagah deta hoon
jata hoon jahan bhi
samay se udas logon ke beech
unhen thoDa sa hila deta hoon
dharti par, gagan beech
ek adami khush hota hai
chalta hua dharti par
dekhta hai jangal, pahaD, khet
nadi ki tarah bahta hai
milta hai dhool se
pashu pakshi aur mujhse
karta hai do baat
mand mand
phailti hain khushiyan tamam
hara thaka main, khushiyon se bhar jata hoon
thoDa tez chalta hoon
prithwi ko sahlata
saDak par jhuki tahni
chhuta uchhal uchhal
thapthapata bachchon ko
chahta hoon, duniya ko, bandh lena banhon mein
intzar karti laDki ko
chumti hain dishayen
hawa mein uDti uski laten
sanwar dena chahta hoon
bhagambhag ke beech
dhire se chhuti hain hamein
buDhi, thanDi ungliyan
unhen apni thoDi si jagah deta hoon
jata hoon jahan bhi
samay se udas logon ke beech
unhen thoDa sa hila deta hoon
dharti par, gagan beech
स्रोत :
पुस्तक : दसों दिशाओं में (पृष्ठ 13)
रचनाकार : नवल शुक्ल
प्रकाशन : आधार प्रकाशन
संस्करण : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.