तपती चुपचाप चलती सड़क
अपने अगल-बग़ल के पेड़ों से कभी-कभी
करती है क्षमायाचना
छीना मैंने अपने बनने में तुम्हारे भाई-बंधु
इष्ट मित्र
पलाश तुम्हारे दहकते रंगों को
मशीनों ने किया ज़मींदोज़
अमलतास के फूलों पर बिछ गए कोलतार
नीम, आम, महुआ की गंध में डूबी धरती
पर चलने लगी जेसीबी
सड़क को पहुँचना है हर जगह
सुदूर क्षेत्रों तक बिछना है
देश की एकता के सूत्र टिके हैं
सड़क पर
पिरोना है सबको एक्सप्रेस-वे की माला में
हे वनस्पतियो, चिड़ियो, चुरूँगो, गिलहरियो, बंदरो!
करना क्षमा
तलाशने होंगे तुम्हें नए घर
ढूँढ़ने होंगे नए ठौर-ठिकाने
तुममें से कई हार गए होंगे
ज़िंदगी की जद्दोजहद
सड़क अपने सड़क बनने की इच्छा में
नहीं रही शामिल
फिर भी स्वीकार करती है अपना अपराध।
apne agal baghal ke peDon se kabhi kabhi
kartin hain kshmayachna
chhina mainne apne banne mein tumhare bhai bandhu
isht mitr
palash tumhare dahakte rangon ko
mashinon ne kiya zamindoz
amaltas ke phulon par bichh gaye koltar
neem, aam, mahua ki gandh mein Dubi dharti
par chalne lagi jesibi
saDak ko pahunchna hai har jagah
sudur kshetron tak bichhna hai
desh ki ekta ke sootr tike hain
saDak par
pirona hai sabko express ve ki mala mein
he vanaspatiyon,chiDiya, churungon, gilahriyon
bandron!
karna kshama
talashne honge tumhein nae ghar
DhunDhne honge nae thaur thikane
tummen se kai haar gaye hogen zindagi ki jaddojhad
saDak
apne saDak banne ki ichha mein
nahin rahi shamil
phir bhi svikar karti hai apna apradh.
apne agal baghal ke peDon se kabhi kabhi
kartin hain kshmayachna
chhina mainne apne banne mein tumhare bhai bandhu
isht mitr
palash tumhare dahakte rangon ko
mashinon ne kiya zamindoz
amaltas ke phulon par bichh gaye koltar
neem, aam, mahua ki gandh mein Dubi dharti
par chalne lagi jesibi
saDak ko pahunchna hai har jagah
sudur kshetron tak bichhna hai
desh ki ekta ke sootr tike hain
saDak par
pirona hai sabko express ve ki mala mein
he vanaspatiyon,chiDiya, churungon, gilahriyon
bandron!
karna kshama
talashne honge tumhein nae ghar
DhunDhne honge nae thaur thikane
tummen se kai haar gaye hogen zindagi ki jaddojhad
saDak
apne saDak banne ki ichha mein
nahin rahi shamil
phir bhi svikar karti hai apna apradh.
स्रोत :
रचनाकार : प्रीति चौधरी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.