यूँ तो यह जीना भी कोई जीना है
फिर भी
अगर मृत्यु के बाद
दुबारा यहाँ आ गया
तो जीना चाहूँगा एक बार
फिर
यही जीवन
शायद तब पढ़ सकूँ वे सब किताबें
जो मैंने कई घटिया-सी नौकरियाँ करते हुए
पैसे बचा-बचाकर ख़रीदी थीं
बल्कि कुछ के लिए तो उधार भी लिया था
शायद लिख पाऊँ वे सभी कविताएँ
जो स्वप्न में तो दिखाई दे जाती हैं
पर आँख खुलते ही
फुर्र हो जाती हैं
दुबारा यही जीवन मिले अगर
तो शायद उन सभी दोस्तों से मिल सकूँ
जिनके अब नाम भी याद नहीं
लेकिन
जिनकी शक्लें अब भी आँखों के आगे आ जाती हैं
अनायास
और हाँ,
शायद उन सभी शहरों में भी जा सकूँ
जहाँ बढ़िया खुरचन मिलती है
और जिनसे प्रेम करने के बावजूद कभी कह नहीं पाया
उनसे कहने की हिम्मत जुटा सकूँ
इन सबसे भी ज़्यादा ज़रूरी एक और काम है
जो मैं करना चाहूँगा
बड़ा भाई जो बाँह छुड़ाकर चला गया हमेशा के लिए
उससे कहूँगा
मुझे वहाँ याद रखे
जैसे मैं उसे यहाँ रखता हूँ
yoon to ye jina bhi koi jina hai
phir bhi
agar mirtyu ke baad
dubara yahan aa gaya
to jina chahunga ek bar
phir
yahi jiwan
shayad tab paDh sakun we sab kitaben
jo mainne kai ghatiya si naukariyan karte hue
paise bacha bachakar kharidi theen
balki kuch ke liye to udhaar bhi liya tha
shayad likh paun we sabhi kawitayen
jo swapn mein to dikhai de jati hain
par ankh khulte hi
phurr ho jati hain
dubara yahi jiwan mile agar
to shayad un sabhi doston se mil sakun
jinke ab nam bhi yaad nahin
lekin
jinki shaklen ab bhi ankhon ke aage aa jati hain
anayas
aur han,
shayad un sabhi shahron mein bhi ja sakun
jahan baDhiya khurchan milti hai
aur jinse prem karne ke bawjud kabhi kah nahin paya
unse kahne ki himmat juta sakun
in sabse bhi zyada zaruri ek aur kaam hai
jo main karna chahunga
baDa bhai jo banh chhuDakar chala gaya hamesha ke liye
usse kahunga
mujhe wahan yaad rakhe
jaise main use yahan rakhta hoon
yoon to ye jina bhi koi jina hai
phir bhi
agar mirtyu ke baad
dubara yahan aa gaya
to jina chahunga ek bar
phir
yahi jiwan
shayad tab paDh sakun we sab kitaben
jo mainne kai ghatiya si naukariyan karte hue
paise bacha bachakar kharidi theen
balki kuch ke liye to udhaar bhi liya tha
shayad likh paun we sabhi kawitayen
jo swapn mein to dikhai de jati hain
par ankh khulte hi
phurr ho jati hain
dubara yahi jiwan mile agar
to shayad un sabhi doston se mil sakun
jinke ab nam bhi yaad nahin
lekin
jinki shaklen ab bhi ankhon ke aage aa jati hain
anayas
aur han,
shayad un sabhi shahron mein bhi ja sakun
jahan baDhiya khurchan milti hai
aur jinse prem karne ke bawjud kabhi kah nahin paya
unse kahne ki himmat juta sakun
in sabse bhi zyada zaruri ek aur kaam hai
jo main karna chahunga
baDa bhai jo banh chhuDakar chala gaya hamesha ke liye
usse kahunga
mujhe wahan yaad rakhe
jaise main use yahan rakhta hoon
स्रोत :
रचनाकार : कुलदीप कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.