नोटिस मिला था मुझे बड़े वकील का,
मेरे मुवक्किल के साथ आपकी हुई है शादी
बार-बार बुलाने पर भी आप आती नहीं हैं।
अब यदि आप एक हफ़्ते में उनके यहाँ नहीं पहुँची,
तो हम दायर करेंगे मुक़दमा।
जवाब मैंने लिखा कि- महाशय!
ग्यारह बरस की थी मैं, तब जो हुआ,
उसे आप शादी कहते हैं?
मैं हाँ या ना कह सकूँ, क्या ऐसी थी वो उम्र मेरी
मुझे तो अभी पढ़-लिखकर डॉक्टर बनना था,
जबकि वो... जिसे मेरा पति बताया जा रहा था,
नाम था उसका भीखाजी,
वो तो पढ़ाई बीच में ही छोड़कर उठ गया था शाला से!
मशहूर था चारों तरफ़... अपने बत्तीस लक्षणों के लिए!
जहाँ मैं हमेशा आती-जाती थी, वो ‘प्रार्थना समाज’-
नारी भी मनुष्य है, इसे स्वीकार करता था...
लेख लिखा मैंने अपने छद्म नाम से,
हिंदू पुरुष को छूट है, दूसरी करे, तीसरी करे,
जबकि नारी को अपनी शादी रद्द करने का हक़ नहीं?
पति की मृत्यु हो जाए तो भी दूसरी शादी न कर सके...
इसी को आप शादी कहते है? लेकिन यह तो उम्र-क़ैद है।
मेरे पति ने कर दिया केस, हाईकोर्ट में
सुना दिया फ़ैसला न्यायाधीश ने चुटकियों में
‘वादी समझता क्या है? स्त्री बैल है या अश्व है
कि उसे घसीटकर घर ले जाएँ?
मैं वादी की माँगे रद्द करता हूँ।’
हो-हल्ला मच गया हिंदू समाज में
भाटिया महाजन में मिले, बनिया मंदिर में
संपादक ने अग्रलेख लिखा ‘केसरी’ में कि
‘लड़की ने अँग्रेज़ी सीख ली इसी का यह प्रताप!
ख़तरे में हिंदू धर्म! ‘मराठा’ ने भी लिखा
‘पति ने शादी के लिए कितना खर्च उठाया होगा,
कौन करेगा वापस यह रकम ब्याज समेत?’
ये दोनों अख़बार लोकमान्य तिलक के थे
यह बात सच होने पर भी, मानेगा कौन?
मेरा तथाकथित पति जीत गया अपील में।
अदालत ने मुझे उसके घर जाने का हुकुम दिया
मैं जाऊँ ते भी क़ैद ना जाऊँ तो भी क़ैद!
notis mila tha mujhe baDe wakil ka,
mere muwakkil ke sath apaki hui hai shadi
bar bar bulane par bhi aap aati nahin hain
ab yadi aap ek hafte mein unke yahan nahin pahunchi,
to hum dayar karenge muqadma
jawab mainne likha ki mahashay!
gyarah baras ki thi main, tab jo hua,
use aap shadi kahte hain?
main han ya na kah sakun, kya aisi thi wo umr meri
mujhe to abhi paDh likhkar doctor banna tha,
jabki wo jise mera pati bataya ja raha tha,
nam tha uska bhikhaji,
wo to paDhai beech mein hi chhoDkar uth gaya tha shala se!
mashhur tha charon taraf apne battis lakshnon ke liye!
jahan main hamesha aati jati thi, wo ‘pararthna samaj’
nari bhi manushya hai, ise swikar karta tha
lekh likha mainne apne chhadm nam se,
hindu purush ko chhoot hai, dusri kare, tisri kare,
jabki nari ko apni shadi radd karne ka haq nahin?
pati ki mirtyu ho jaye to bhi dusri shadi na kar sake
isi ko aap shadi kahte hai? lekin ye to umr qaid hai
mere pati ne kar diya kes, haikort mein
suna diya faisla nyayadhish ne chutakiyon mein
‘wadi samajhta kya hai? istri bail hai ya ashw hai
ki use ghasitkar ghar le jayen?
main wadi ki mange radd karta hoon ’
ho halla mach gaya hindu samaj mein
bhatiya mahajan mein mile, baniya mandir mein
sampadak ne agralekh likha ‘kesari’ mein ki
‘laDki ne angrezi seekh li isi ka ye pratap!
khatre mein hindu dharm! ‘maratha’ ne bhi likha
‘pati ne shadi ke liye kitna kharch uthaya hoga,
kaun karega wapas ye rakam byaj samet?’
ye donon akhbar lokamany tilak ke the
ye baat sach hone par bhi, manega kaun?
mera tathakathit pati jeet gaya appeal mein
adalat ne mujhe uske ghar jane ka hukum diya
main jaun te bhi qaid na jaun to bhi qaid!

स्रोत :
पुस्तक : तनाव-148 (पृष्ठ 31)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : उदयन ठक्कर
संस्करण : 2021
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.