तैरती सुनसान में / साँस लेती धरती
अब नहीं काँपेगी / घन और हथौड़ों से
बुझते अंगारों के संग / मरोड़ खाता अतीत
अब भी उकेरता / बिखरी हुई राख / ढहा चूल्हा
अब नहीं आएँगे / गाड़िया लुहार
फिर लौटकर इस गाँव में।
रूपा दादा / आज भी याद करते हैं
गँड़ासे और दराँती की धार को
मोरू बाई गाता / आज भी झमकी का मीठा स्वर
रात के सन्नाटे में / नश्तर-सा चुभता है
लेकिन ऐसे ही छूटती है / जन्मभूमि
और घरों से / निकल जाते लोग
जन्मभूमि / जिसके लिए मनुष्य
सपने सहेजता है / शीश देने की
सौगंध खाता है और / पीछे रह जाती है याद!
एक जगह की पौध / पनप जाती है दूसरी जगह
दूसरी जगह की पौध / खोजती है तीसरी जगह
ऐसे ही बसते गाँव और उजड़ते शहर
गड़मच गाड़ी और टाबर-टोली के साथ
भागता रहता है मनुष्य / पीछे-पीछे
एक क़ायदा है / जन्मभूमि का
जो मुल्क और / दुनिया को रचता है
पर अब नहीं आएँगे / गाड़िया लुहार
फिर लौटकर इस गाँव में।
tairti sunsan mein / sans leti dharti
ab nahin kanpegi / ghan aur hathauDon se
bujhte angaron ke sang / maroD khata atit
ab bhi ukerata / bikhri hui rakh / Dhaha chulha
ab nahin ayenge / gaDiya luhar
phir lautkar is ganw mein
rupa dada / aaj bhi yaad karte hain
ganDase aur daranti ki dhaar ko
moru bai gata / aaj bhi jhamki ka mitha swar
raat ke sannate mein / nashtar sa chubhta hai
lekin aise hi chhutti hai / janmabhumi
aur gharon se / nikal jate log
janmabhumi / jiske liye manushya
sapne sahejta hai / sheesh dene ki
saugandh khata hai aur / pichhe rah jati hai yaad!
ek jagah ki paudh / panap jati hai dusri jagah
dusri jagah ki paudh / khojti hai tisri jagah
aise hi baste ganw aur ujaDte shahr
gaDmach gaDi aur tabar toli ke sath
bhagta rahta hai manushya / pichhe pichhe
ek qayda hai / janmabhumi ka
jo mulk aur / duniya ko rachta hai
par ab nahin ayenge / gaDiya luhar
phir lautkar is ganw mein
tairti sunsan mein / sans leti dharti
ab nahin kanpegi / ghan aur hathauDon se
bujhte angaron ke sang / maroD khata atit
ab bhi ukerata / bikhri hui rakh / Dhaha chulha
ab nahin ayenge / gaDiya luhar
phir lautkar is ganw mein
rupa dada / aaj bhi yaad karte hain
ganDase aur daranti ki dhaar ko
moru bai gata / aaj bhi jhamki ka mitha swar
raat ke sannate mein / nashtar sa chubhta hai
lekin aise hi chhutti hai / janmabhumi
aur gharon se / nikal jate log
janmabhumi / jiske liye manushya
sapne sahejta hai / sheesh dene ki
saugandh khata hai aur / pichhe rah jati hai yaad!
ek jagah ki paudh / panap jati hai dusri jagah
dusri jagah ki paudh / khojti hai tisri jagah
aise hi baste ganw aur ujaDte shahr
gaDmach gaDi aur tabar toli ke sath
bhagta rahta hai manushya / pichhe pichhe
ek qayda hai / janmabhumi ka
jo mulk aur / duniya ko rachta hai
par ab nahin ayenge / gaDiya luhar
phir lautkar is ganw mein
स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक भारतीय कविता संचयन राजस्थानी (1950-2010) (पृष्ठ 74)
संपादक : नंद भारद्वाज
रचनाकार : गोरधनसिंह सेखावत
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.