अँधेरे में
भूख से दर्द और दुख से बिलबिलाते
हम दवा और रोटी खोजते रहते हैं
राजा अपनी मूँछ खोजता रहता है
जेठ की चिलचिलाती धूप में हम
धूल पसीने से गुँथे
खनते रहते हैं कुआँ
राजा लाठी में सरसों तेल पिलाता रहता है
बारिश में काँपते थरथराते
हम लेटते हैं खेत की मेड़ पर
और बचाते हैं पानी
राजा ख़ून की नदी बहाता रहता है
हमारे बच्चे अक्सर
बीमार रहते हैं डगमण करते हैं
हम खोजते हैं बकरी का दूध
राजा श्वानों को खीर खिलाता रहता है
हम गीत प्रीत का गाना चाहते हैं
मिलना और बतियाना चाहते हैं
भेद भूलकर हँसना और हँसाना चाहते हैं
राजा क्रोध में पागल बस बैंड बजाता रहता है।
andhere men
bhookh se dard aur dukh se bilbilate
hum dava aur roti khojte rahte hain
raja apni moonchh khojta rahta hai
jeth ki chilchilati dhoop mein hum
dhool pasine se gunthe
khante rahte hain kuan
raja lathi mein sarson tel pilata rahta hai
barish mein kanpte thartharate
hum lette hain khet ki meD par
aur bachate hain pani
raja khoon ki nadi bahata rahta hai
hamare bachche aksar
bimar rahte hain Dagman karte hain
hum khojte hain bakri ka doodh
raja shvanon ko kheer khilata rahta hai
hum geet preet ka gana chahte hain
milna aur batiyana chahte hain
bhed bhulkar hansna aur hansana chahte hain
raja krodh mein pagal bus band bajata rahta hai.
andhere men
bhookh se dard aur dukh se bilbilate
hum dava aur roti khojte rahte hain
raja apni moonchh khojta rahta hai
jeth ki chilchilati dhoop mein hum
dhool pasine se gunthe
khante rahte hain kuan
raja lathi mein sarson tel pilata rahta hai
barish mein kanpte thartharate
hum lette hain khet ki meD par
aur bachate hain pani
raja khoon ki nadi bahata rahta hai
hamare bachche aksar
bimar rahte hain Dagman karte hain
hum khojte hain bakri ka doodh
raja shvanon ko kheer khilata rahta hai
hum geet preet ka gana chahte hain
milna aur batiyana chahte hain
bhed bhulkar hansna aur hansana chahte hain
raja krodh mein pagal bus band bajata rahta hai.
स्रोत :
रचनाकार : हरे प्रकाश उपाध्याय
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.