एक खौंचा सिया
कि छोटी पड़ गई ज़िंदगी
बड़े महँगे हो रफ़ूगर तुम
ये क्या कि मरम्मत के वक़्त काट छाँट देते हो
कैसे जिया जाएगा इतने कम में
उसने नज़र उठाई वह भी बेज़ार
सुई की नोक भी
निशाने पर मेरी आँख, बेझप
कौन है तू?
मैंने चूम लीं उसकी उँगलियाँ
और उन उँगलियों की हिक़ारत
फ़ुसफ़ुसाई कान की लौ पर, वक़्त थरथराया
तुम आलीपनाह
मेरा नाम कुछ भी हो सकता है
जैसे नाचीज़
और अब अगर जान लिया है मेरा नाम
तो रफ़ू करो मेरा सब फटा उधड़ा
मिला दो मेरी चिंदी-चिंदी
जोड़ दो यह चाक जो बढ़ता ही जा रहा है हर घड़ी
नहीं भरता यह ज़ख़्म कोई वक़्त मरहम
लो सिलो पूरी दयानतदारी
थोड़ी फ़िज़ूलख़र्ची से
कि अब भी सलामत है मेरी फटी जेब चाक गरेबाँ
ख़स्ता आस्तीन
सिलो कि सलामत रहें तुम्हारी उँगलियाँ
उनकी हिक़ारत।
ek khauncha siya
ki chhoti paD gai zindagi
baDe mahnge ho rafugar tum
ye kya ki marammat ke waqt kat chhant dete ho
kaise jiya jayega itne kam mein
usne nazar uthai wo bhi bezar
sui ki nok bhi
nishane par meri ankh, bejhap
kaun hai too?
mainne choom leen uski ungliyan
aur un ungliyon ki hiqarat
fusafusai kan ki lau par, waqt thartharaya
tum alipnah
mera nam kuch bhi ho sakta hai
jaise nachiz
aur ab agar jaan liya hai mera nam
to rafu karo mera sab phata udhDa
mila do meri chindi chindi
joD do ye chaak jo baDhta hi ja raha hai har ghaDi
nahin bharta ye zakhm koi waqt marham
lo silo puri dayanatdari
thoDi fizulkharchi se
ki ab bhi salamat hai meri phati jeb chaak gareban
khasta astin
silo ki salamat rahen tumhari ungliyan
unki hiqarat
ek khauncha siya
ki chhoti paD gai zindagi
baDe mahnge ho rafugar tum
ye kya ki marammat ke waqt kat chhant dete ho
kaise jiya jayega itne kam mein
usne nazar uthai wo bhi bezar
sui ki nok bhi
nishane par meri ankh, bejhap
kaun hai too?
mainne choom leen uski ungliyan
aur un ungliyon ki hiqarat
fusafusai kan ki lau par, waqt thartharaya
tum alipnah
mera nam kuch bhi ho sakta hai
jaise nachiz
aur ab agar jaan liya hai mera nam
to rafu karo mera sab phata udhDa
mila do meri chindi chindi
joD do ye chaak jo baDhta hi ja raha hai har ghaDi
nahin bharta ye zakhm koi waqt marham
lo silo puri dayanatdari
thoDi fizulkharchi se
ki ab bhi salamat hai meri phati jeb chaak gareban
khasta astin
silo ki salamat rahen tumhari ungliyan
unki hiqarat
स्रोत :
रचनाकार : अनुराधा सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.