बुज़ुर्ग और रद्दी का ढेर
एक दूसरे को घूर रहे हैं
संवाद करते है एक दूसरे से
मैं तुमसे बेहतर हूँ
नहीं मैं बेहतर हूँ
बुज़ुर्ग कहता है
हम दोनों में ज़मीन-आसमान का अंतर है
मैं आसमान
तुम ज़मीन
रद्दी का ढेर अभी मौन है
पर शायद उन दोनों को नहीं पता
उनमें अगणित समानताएँ भी हैं
वक़्त के साथ दोनों के लिए
कोना सुरक्षित हो जाता है
वही रोज़ की उपेक्षा और अपमान
और संत्रास से सामना
दोनों को अक्सर ही लोग
अधूरी नज़रों
बोझिल मन से
तिरस्कृत भाव से देखकर
आगे बढ़ जाते हैं।
इतनी उपेक्षा के बाद भी
अहंकार में मशग़ूल
बुज़ुर्ग रद्दी से कहता है
तुम्हारी क्या औक़ात?
मेरे सामने
निर्जीव, बेजान!
फिर एक दिन अचानक
रद्दी वाला आता है
रद्दी का ढेर लेकर चला जाता है
बुज़ुर्ग ख़ामोश और संवादहीन हो जाता है
उसकी आँखें डबडबा जाती हैं
तब उसे एहसास होता है
रद्दी का ढेर मुझसे बेहतर है
उसका कोई तो है
कोने से छुटकारा दिलाने वाला।
bujurg aur raddi ka Dher
ek dusre ko ghoor rahe hai
sanwad karte hai ek dusre se
main tumse behtar hoon
nahin main behtar hoon
bujurg kahta hai
hum donon mein zamin asman ka antar hai
main asman tum zamin
raddi ka Dher abhi maun hai
par shayad un donon ko nahin pata
unmen agnit samantayen bhi hai
waqt ke sath donon ke liye
kona surakshait ho jata hai
wahi roz ki upeksha, apman
santras se samna
donon ko aksar hi log
adhuri nazron, bojhil man se
tiraskrit bhaw se dekhkar
age baDh jate hai
itni upeksha ke baad bhi
manaw aham mein mashgul
bujurg raddi se kahta hai
tumhari kya aukat? mere samne
nirjiw, bejan!
phir ek din achanak
raddi wala aata hai
raddi ka Dher lekar chala jata hai
bujurg khamosh aur sanwadhin ho jata hai
uski ankhen DabDaba jati hai
tab use ehsas hota hai
raddi ka Dher mujhse behtar hai
uska koi to hai
kone se chhutkara dilane wala
bujurg aur raddi ka Dher
ek dusre ko ghoor rahe hai
sanwad karte hai ek dusre se
main tumse behtar hoon
nahin main behtar hoon
bujurg kahta hai
hum donon mein zamin asman ka antar hai
main asman tum zamin
raddi ka Dher abhi maun hai
par shayad un donon ko nahin pata
unmen agnit samantayen bhi hai
waqt ke sath donon ke liye
kona surakshait ho jata hai
wahi roz ki upeksha, apman
santras se samna
donon ko aksar hi log
adhuri nazron, bojhil man se
tiraskrit bhaw se dekhkar
age baDh jate hai
itni upeksha ke baad bhi
manaw aham mein mashgul
bujurg raddi se kahta hai
tumhari kya aukat? mere samne
nirjiw, bejan!
phir ek din achanak
raddi wala aata hai
raddi ka Dher lekar chala jata hai
bujurg khamosh aur sanwadhin ho jata hai
uski ankhen DabDaba jati hai
tab use ehsas hota hai
raddi ka Dher mujhse behtar hai
uska koi to hai
kone se chhutkara dilane wala
स्रोत :
रचनाकार : आशीष यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.