मैं हारमोनियम रात के भीतर बजा रहा था
गाना जो था वह अँधेरे में इतनी दूर तक जाता था
कि मैं देख नहीं पाता था
फिर एक पतली-सी दरार मुझे दिखी
मैं उसमें घुस गया
और अँधेरे की दो परतों के बीच नींद में डूबे पानी जैसा
दूर तक दौड़ने लगा
वहाँ बीस साल से एक लड़की थी जो बिना कभी दिखे
सोती जा रही थी
वह जागी तो नहीं लकिन नींद में ही हँसी
अँधेरे में गाना था और पानी जैसा जो बह रहा था
वह मैं था
फिर तो मैं भी हँसने लगा रात में ही
अँधेरे में छुपा हुआ
एक मोटा अधेड़ उम्र का आदमी
साईं बाबा की फ़ोटो के नीचे पिस्ता खा रहा था
उसने बंदूक़ से मुझे डराया
यों आँखें फाड़कर और मुँह को यूँ-यूँ करके
वह तो बाप निकला लड़की का, जो ग़ुस्से में था
और सो भी नहीं रहा था बीस साल से
लड़की के सपनों की पहरेदारी में
मैं क्या करता? धप्प् से कूदकर बाहर निकल आया
और उजाले में डरावने आदमी से नमस्ते करने लगा
लेकिन मेरा हारमोनियम तो
रात में ही रह गया था, बहुत पीछे
और वह बज रहा था
और लड़की हँसे क्यों जा रही थी
यह कहना मुश्किल था।
main harmonium raat ke bhitar baja raha tha
gana jo tha wo andhere mein itni door tak jata tha
ki main dekh nahin pata tha
phir ek patli si darar mujhe dikhi
main usmen ghus gaya
aur andhere ki do parton ke beech neend mein Dube pani jaisa
door tak dauDne laga
wahan bees sal se ek laDki thi jo bina kabhi dikhe
soti ja rahi thi
wo jagi to nahin lakin neend mein hi hansi
andhere mein gana tha aur pani jaisa jo bah raha tha
wo main tha
phir to main bhi hansne laga raat mein hi
andhere mein chhupa hua
ek mota adheD umr ka adami
sain baba ki photo ke niche pista kha raha tha
usne banduq se mujhe Daraya
yon ankhen phaDkar aur munh ko yoon yoon karke
wo to bap nikla laDki ka, jo ghusse mein tha
aur so bhi nahin raha tha bees sal se
laDki ke sapnon ki pahredari mein
main kya karta? dhapp se kudkar bahar nikal aaya
aur ujale mein Darawne adami se namaste karne laga
lekin mera harmonium to
raat mein hi rah gaya tha, bahut pichhe
aur wo baj raha tha
aur laDki hanse kyon ja rahi thi
ye kahna mushkil tha

स्रोत :
पुस्तक : रात में हारमोनियम (पृष्ठ 100)
रचनाकार : उदय प्रकाश
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.