किसी गोद में सिर छिपाने के अभाव में
एक हाथ पकड़ने के अभाव में
आँखें मूँदकर किसी चेहरे की आकृति खींचने
या सुंदर समाज के सपनों के अभाव में
दिन के अंत में
किसी से कहने और सुन लेने के अभाव में
कि रात हो गई है
अब ठहर जाओ
हम कितनी देर तक बड़बड़ाते हैं
स्मृतियों की पुनरुक्ति का सिक्का
दिन के बाज़ार में चलता नहीं
रात को पूरा चाँद होकर
चढ़ जाता है आसमान पर
और ढाप लेता है धड़ का ऊपरी हिस्सा
नींद से बाहर तमाम अभावों की नींद में
हम निकल पड़ते हैं
देर रात... किसी सैर पर
kisi god mein sir chhipane ke abhav men
ek haath pakaDne ke abhav men
ankhen mundakar kisi chehre ki akriti khinchne
ya sundar samaj ke sapnon ke abhav men
din ke ant men
kisi se kahne aur sun lene ke abhav men
ki raat ho gai hai
ab thahar jao
hum kitni der tak baDbaDate hain
smritiyon ki punrukti ka sikka
din ke bazar mein chalta nahin
raat ko pura chaand hokar
chaDh jata hai asman par
aur Dhaap leta hai dhaD ka upri hissa
neend se bahar tamam abhavon ki neend men
hum nikal paDte hain
der raat. . . kisi sair par
kisi god mein sir chhipane ke abhav men
ek haath pakaDne ke abhav men
ankhen mundakar kisi chehre ki akriti khinchne
ya sundar samaj ke sapnon ke abhav men
din ke ant men
kisi se kahne aur sun lene ke abhav men
ki raat ho gai hai
ab thahar jao
hum kitni der tak baDbaDate hain
smritiyon ki punrukti ka sikka
din ke bazar mein chalta nahin
raat ko pura chaand hokar
chaDh jata hai asman par
aur Dhaap leta hai dhaD ka upri hissa
neend se bahar tamam abhavon ki neend men
hum nikal paDte hain
der raat. . . kisi sair par
स्रोत :
रचनाकार : संध्या चौरसिया
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.