क़मीज़ जो शरीर पर रहती थी
सुरक्षा में पूरी मुस्तैद
अब खूँटी पर टँगी रहती है
जैसे यही उसका स्थाई निवास हो
वे हमारे अच्छे दिन थे
क़मीज़ मेरी पहचान थी
वह इस कदर जुड़ी थी मुझसे
कि दूर से ही लोग पहचान लेते थे मुझे
मैं जहाँ जाता, क़मीज़ मेरे साथ जाती
दफ़्तर, सभा-सोसायटी, हाट-बाज़ार हर जगह
मैं ड्यूटी बजाता, मेरे साथ ड्यूटी पर यह भी होती
धरना, प्रदर्शन में शामिल होता, नारे लगाता
यह भी साथ होती
क़मीज़ हर हफ़्ते धुलती
धुलकर, कलफ़ व इस्त्री के बाद
जब यह मेरे बदन पर सवार होती
इसकी चमक से मेरा व्यक्तित्व
ताजे फूलों की तरह खिल उठता
लोग कहते भी कि अच्छे लग रहे हो
सुंदर दिख रहे हो
इस तरह क़मीज़ लोगों के बीच मेरी प्रतिष्ठा बढा देती
और मैं भी इसका पूरा सम्मान करता
भरपूर ख़्याल रखता
इन दिनों देश लॉकडाउन में है
मेरे साथ क़मीज़ भी लॉकडाउन में है
मैं घर में बंद हूँ
और उसका बाहर निकलना बंद है
मतलब हम दोनों क़ैद में हैं
मेरे पास कोई काम नहीं
आराम ही आराम, और इस आराम में रक्तचाप बढ़ गया है
यह मेरे अंदर की बेचौनी है
जो कविता में व्यक्त हो रही है
क़मीज़ खूँटी पर टँगी है
पानी की जगह धूल से नहा रही है
कह सकते हैं अपनी ड्यूटी से छुट्टी पर है
आराम फ़रमा रही है
यह बे-ज़ुबान है
ज़ुबान होती तो जोर-जोर से कहती—
आराम हराम है!
qamiz jo sharir par rahti thi
suraksha mein puri mustaid
ab khunti par tangi rahti hai
jaise yahi uska sthai nivas ho
ve hamare achchhe din the
qamiz meri pahchan thi
wo is kadar juDi thi mujhse
ki door se hi log pahchan lete the mujhe
main jahan jata, qamiz mere saath jati
daftar, sabha sosayti, haat bazar har jagah
main Dyuti bajata, mere saath Dyuti par ye bhi hoti
dharna, pradarshan mein shamil hota, nare lagata
ye bhi saath hoti
qamiz har hafte dhulti
dhulkar, kalaf va istri ke baad
jab ye mere badan par savar hoti
iski chamak se mera vyaktitv
taje phulon ki tarah khil uthta
log kahte bhi ki achchhe lag rahe ho
sundar dikh rahe ho
is tarah qamiz logon ke beech meri pratishtha baDha deti
aur main bhi iska pura samman karta
bharpur khyaal rakhta
in dinon desh laukDaun mein hai
mere saath qamiz bhi laukDaun mein hai
main ghar mein band hoon
aur uska bahar nikalna band hai
matlab hum donon qaid mein hain
mere paas koi kaam nahin
aram hi aram, aur is aram mein raktachap baDh gaya hai
ye mere andar ki bechauni hai
jo kavita mein vyakt ho rahi hai
qamiz khunti par tangi hai
pani ki jagah dhool se nha rahi hai
kah sakte hain apni Dyuti se chhutti par hai
aram farma rahi hai
ye bejuban hai
zuban hoti to jor jor se kahti—
aram haram hai!
qamiz jo sharir par rahti thi
suraksha mein puri mustaid
ab khunti par tangi rahti hai
jaise yahi uska sthai nivas ho
ve hamare achchhe din the
qamiz meri pahchan thi
wo is kadar juDi thi mujhse
ki door se hi log pahchan lete the mujhe
main jahan jata, qamiz mere saath jati
daftar, sabha sosayti, haat bazar har jagah
main Dyuti bajata, mere saath Dyuti par ye bhi hoti
dharna, pradarshan mein shamil hota, nare lagata
ye bhi saath hoti
qamiz har hafte dhulti
dhulkar, kalaf va istri ke baad
jab ye mere badan par savar hoti
iski chamak se mera vyaktitv
taje phulon ki tarah khil uthta
log kahte bhi ki achchhe lag rahe ho
sundar dikh rahe ho
is tarah qamiz logon ke beech meri pratishtha baDha deti
aur main bhi iska pura samman karta
bharpur khyaal rakhta
in dinon desh laukDaun mein hai
mere saath qamiz bhi laukDaun mein hai
main ghar mein band hoon
aur uska bahar nikalna band hai
matlab hum donon qaid mein hain
mere paas koi kaam nahin
aram hi aram, aur is aram mein raktachap baDh gaya hai
ye mere andar ki bechauni hai
jo kavita mein vyakt ho rahi hai
qamiz khunti par tangi hai
pani ki jagah dhool se nha rahi hai
kah sakte hain apni Dyuti se chhutti par hai
aram farma rahi hai
ye bejuban hai
zuban hoti to jor jor se kahti—
aram haram hai!
स्रोत :
रचनाकार : कौशल किशोर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.