क्या तुम जानते हो
क़हर क्या होता है?
चलिए, छोड़िए
यही बता दीजिए
कि ज़हर क्या होता है?
यदि क़हर की बात पर
तुम्हारे ज़हन में आ रहा है भूकंप,
बाढ़, सुनामी या बवंडर का कोई दृश्य
तो यक़ीनन जह़र के ज़िक्र पर
दिल में आ रहा होगा
रसायनों की शीशियाँ,
फ़िनायल की बोतल और
सल्फ़ास की गोलियों जैसा ही कुछ
पर यह आधा ही सच है
क़हर और ज़हर के बारे में।
अपनी बात कहते हुए कविता में
यदि तुम्हें मैं मुस्कुराने या सोचने को
मजबूर नहीं कर पा रहा
और मेरी बात तुम्हारे कानों से होकर
नहीं जा पा रही तुम्हारे दिलों तक
तो यह कविता ज़हर है मेरे लिए
और मुझे ऐसे ज़हर के क़हर से बचना चाहिए।
kya tum jante ho
qahr kya hota hai?
chaliye, chhoDiye
yahi bata dijiye
ki zahr kya hota hai?
yadi qahr ki baat par
tumhare zahan mein aa raha hai bhukamp,
baDh, sunami ya bawanDar ka koi drishya
to yaqinan jahar ke zikr par
dil mein aa raha hoga
rasaynon ki shishiyan,
finayal ki botal aur
celfas ki goliyon jaisa hi kuch
par ye aadha hi sach hai
qahr aur zahr ke bare mein
apni baat kahte hue kawita mein
yadi tumhein main muskurane ya sochne ko
majbur nahin kar pa raha
aur meri baat tumhare kanon se hokar
nahin ja pa rahi tumhare dilon tak
to ye kawita zahr hai mere liye
aur mujhe aise zahr ke qahr se bachna chahiye
kya tum jante ho
qahr kya hota hai?
chaliye, chhoDiye
yahi bata dijiye
ki zahr kya hota hai?
yadi qahr ki baat par
tumhare zahan mein aa raha hai bhukamp,
baDh, sunami ya bawanDar ka koi drishya
to yaqinan jahar ke zikr par
dil mein aa raha hoga
rasaynon ki shishiyan,
finayal ki botal aur
celfas ki goliyon jaisa hi kuch
par ye aadha hi sach hai
qahr aur zahr ke bare mein
apni baat kahte hue kawita mein
yadi tumhein main muskurane ya sochne ko
majbur nahin kar pa raha
aur meri baat tumhare kanon se hokar
nahin ja pa rahi tumhare dilon tak
to ye kawita zahr hai mere liye
aur mujhe aise zahr ke qahr se bachna chahiye
स्रोत :
पुस्तक : पूर्वग्रह 166-67 (पृष्ठ 188)
संपादक : प्रेमशंकर शुक्ल
रचनाकार : राहुल कुमार बोयल
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.