अपने समय को
इतना धोना
पसारना
सुखाना और सहेजना
मैंने तुमसे सीखा
अपनी चिंता में
सब्र की आख़िरी हद तक
मानसून का बाट जोहना
मौसम, श्रम और बीजों से
रिश्ता जोड़ना
पक जाने के बाद
फ़सलों की बालियाँ तोड़ना
मैंने तुमसे सीखा
अपनी प्यास में
खोजना मीठे जल का सोता
निचोड़ना साँसों की नमी
रीझना शगुन चिड़िया जैसा
गुज़रती ध्वनियों पर
और किससे सीखा मैंने
तुम्हारे सिवा
मेरी कविता में भाषा की जगह
तुम्हीं हो
विचारों की जगह
तुम्हारे ही उगाए क्षणों की आग है
बिंबों की जगह
तुम्हारी आत्मा का निचोड़
अक्षर-अक्षर
तुम्हारी स्मृतियों के घर की ईंट
अब तुम्हीं कहो
और कैसे किया जाता है प्यार!
apne samay ko
itna dhona
pasarna
sukhana aur sahejna
mainne tumse sikha
apni chinta mein
sabr ki akhiri had tak
mansun ka baat johna
mausam, shram aur bijon se
rishta joDna
pak jane ke baad
faslon ki baliyan toDna
mainne tumse sikha
apni pyaas mein
khojna mithe jal ka sota
nichoDna sanson ki nami
rijhna shagun chiDiya jaisa
guzarti dhvaniyon par
aur kisse sikha mainne
tumhare siva
meri kavita mein bhasha ki jagah
tumhin ho
vicharon ki jagah
tumhare hi ugaye kshnon ki aag hai
bimbon ki jagah
tumhari aatma ka nichoD
akshar akshar
tumhari smritiyon ke ghar ki iint
ab tumhin kaho
aur kaise kiya jata hai pyaar!
apne samay ko
itna dhona
pasarna
sukhana aur sahejna
mainne tumse sikha
apni chinta mein
sabr ki akhiri had tak
mansun ka baat johna
mausam, shram aur bijon se
rishta joDna
pak jane ke baad
faslon ki baliyan toDna
mainne tumse sikha
apni pyaas mein
khojna mithe jal ka sota
nichoDna sanson ki nami
rijhna shagun chiDiya jaisa
guzarti dhvaniyon par
aur kisse sikha mainne
tumhare siva
meri kavita mein bhasha ki jagah
tumhin ho
vicharon ki jagah
tumhare hi ugaye kshnon ki aag hai
bimbon ki jagah
tumhari aatma ka nichoD
akshar akshar
tumhari smritiyon ke ghar ki iint
ab tumhin kaho
aur kaise kiya jata hai pyaar!
स्रोत :
पुस्तक : बुरे समय में नींद (पृष्ठ 126)
रचनाकार : रामाज्ञा शशिधर
प्रकाशन : अंतिका प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.