एक बार मैंने उसे अपने सामने बिठाकर
प्यार से समझाने की कोशिश की तो वह
बुरी तरह बिफर गई मुझ पर ही और चीख़ते हुए बोली
अभी क्या हमारी उम्र निकल गई है
जो हम किसी और का बच्चा गोद लें
मुझे ईश्वर पर पूरा भरोसा है
मैं कभी भी तुम्हारे बच्चे की माँ बन सकती हूँ
और तुम अपने ख़ुद के बच्चे के पिता
क्या लोगों के यहाँ देरी से बच्चे पैदा नहीं होते
एक बार फिर मैं उसके साथ इस मैदान में
समझाईस का खेल खेलते हुए
उससे बुरी तरह हार गया
अपनी ही सलाइयों से अपने आपको उधेड़ता-बुनता
हमेशा के लिए पराजित एक योद्धा की तरह
एक बार फिर जा बैठा मैं अपने भीतर के कोप भवन में
किस तरह समझाऊँ मैं उसे जब मेरी शिराओं में
वह आवश्यक उपलब्धता ही नहीं
तो उसमें उसका ईश्वर क्या कर लेगा
वह आकर मेरे वीर्य में अपना वीर्य मिलाने से तो रहा
और न ही वह उसकी पूजा-पाठ से प्रसन्न होकर
उसके बिस्तर में घुसकर चुपचाप
उसकी योनि में जीव रोपण करने वाला
यह काम तो कोई पुरुष ही करेगा,
और निश्चित तौर पर वह पुरुष मैं नहीं
मैं उसे अच्छी तरह समझाना चाहता हूँ कि
एक इस रास्ते के हमारे पास कोई रास्ता नहीं
कि हम विज्ञान के डर से भागकर
एक टीले की ओट में हाँफते ईश्वर की जगह
एक मनुष्य पर करें भरोसा
मगर वह मेरी बात सुनने को तैयार नहीं क़तई
वह अपनी ही कोख से बच्चे को जन्म देना चाहती है
वह अपनी कोख से मेरा ही बच्चा जनना चाहती है
अफ़सोस वह इसके लिए मुझसे लगाए बैठी है आस
मैं उसे कई बार इस बारे मैं समझाने की करता हूँ कोशिश
लेकिन वह हर बार मुझे यह कहकर
कर देती है निरुत्तर की कोई कमी नहीं तुममें
तुम्हारे बारे में मुझसे बेहतर कौन जानता होगा
उस मामले में तुमसे ज़्यादा शैतान कोई नहीं होगा
यह आदिम इच्छा उसकी मुझे अक्सर
बौखलाने पर कर देती है मजबूर
उसकी इस ज़िद की पूर्ति के बारे में मैं
तरह-तरह से सोचता हूँ, सोचता क्या हूँ
अपने ही भीतर छटपटाता हूँ
क्या किसी भी तरह उसकी यह इच्छा नहीं हो सकती पूरी
क्या ऐसा नहीं हो सकता कि मेरी अनुपस्थिति में
कोई आए और उससे कर जाए ज़बर्दस्ती
और वह चुपचाप रह जाए सहकर
नहीं बताए किसी को, मुझे भी नहीं
और फिर जो परिणाम निकले वह मेरा कहलाए
एक बात मैं उससे हर बार पूछने की सोचता हूँ
लेकिन हर बार रह जाता हूँ सहमकर
क्यों उसका कोई प्रेमी नहीं पुराना
यदि हाँ तो क्या वह अब भी मिलती है उससे
यदि मिलती है तो कितना मिलती है
मुझे लगता है वह उससे उस तरह नहीं मिलती
जिस तरह मिलती है मुझसे, अन्यथा मेरे सिर से
यह कलंक कब का मिट गया होता
लगता है उसका कोई प्रेमी ही नहीं
काश वह होता तो आज कितने काम आता
क्या ऐसा नहीं हो सकता कि वह घर में ही
कर ले कुछ ऐसा वैसा आख़िर ऐसा तो नहीं
वे सब भी मेरी तरह हों अनुत्तीर्ण
किसी एक को बना ले वह अपना साझीदार
ऐसा नहीं कि दुनिया में काम इस तरह न चलते हों
फिर यह ठीक भी होगा, घर का सुख
बहेगा घर में ही, मक्खन भी मिल जाएगा
और नहीं फूटेगी मटकी भी
सोचता हूँ और पूरी बेशर्मी से सोचता हूँ
अपने ही तल में नीचे गिरकर सोचता हूँ
कि आख़िर किस संकेत से समझाऊँ
उसे मैं यह सब, आख़िर इस मामले में
सब करना-धरना तो उसे ही है
सब होना-धोना तो उसके साथ ही है
कभी-कभी तो सोचता हूँ क्यों न मैं ही भेज दूँ
उसके पास किसी और को और ख़ुद
खड़ा हो जाऊँ दरवाज़े पर लेकर लाठी
एक पुरुष होने के बाद एक बच्चे को पाने के लिए
यह जानते हुए भी कि बाज़ी मेरे हाथ से
निकल भी सकती है बिगड़ भी सकती है बात
सब करने के लिए तैयार हूँ मैं,
आख़िर यह बात यह तो बस उसके भीतर
या फिर सिर्फ़ मेरे भीतर
या हम दोनों के भीतर ही तो रहनी है
फिर दुनिया कुछ अंदाज़ लगाती भी है तो लगाती रहे
जब हमारे ही मुँह नहीं खुलने तो
फिर दुनिया के खुले हुए मुँह की तरफ़ क्या देखना
और जब मैं इस तरह सोचता हूँ तो मुझे
अच्छी लगने लगती है उसकी ज़िद
एक बच्चे को मैं भले ही अपने बच्चे की तरह
चाहता होऊँ गोद लेना लेकिन उससे पहले
मैं भी तो यही चाहता हूँ कि मेरी पत्नी की कोख से
एक बच्चा ले जन्म जो कहलाए मेरा
जिसे मेरी पत्नी मेरा बच्चा कहे
और अपनी पत्नी के आगे मैं उसे अपना
जिसके जन्म लेने के कुछ दिन बाद बक्से में से
मैं अपनी मेडिकल रिपोर्टें निकालूँ
और चुपचाप आग में झोंक दूँ जाकर।
ek bar mainne use apne samne bithakar
pyar se samjhane ki koshish ki to wo
buri tarah biphar gai mujh par hi aur chikhte hue boli
abhi kya hamari umr nikal gai hai
jo hum kisi aur ka bachcha god len
mujhe ishwar par pura bharosa hai
main kabhi bhi tumhare bachche ki man ban sakti hoon
aur tum apne khu ke bachche ke pita
kya logon ke yahan deri se bachche paida nahin hote
ek bar phir main uske sath is maidan mein
samjhais ka khel khelte hue
usse buri tarah haar gaya
apni hi salaiyon se apne aapko udheDta bunta
hamesha ke liye parajit ek yoddha ki tarah
ek bar phir ja baitha main apne bhitar ke kop bhawan mein
kis tarah samjhaun main use jab meri shiraon mein
wo awashyak uplabdhata hi nahin
to usmen uska ishwar kya kar lega
wo aakar mere weery mein apna weery milane se to raha
aur na hi wo uski puja path se prasann hokar
uske bistar mein ghuskar chupchap
uski yoni mein jeew ropan karne wala
ye kaam to koi purush hi karega,
aur nishchit taur par wo purush main nahin
main use achchhi tarah samjhana chahta hoon ki
ek is raste ke hamare pas koi rasta nahin
ki hum wigyan ke Dar se bhagkar
ek tile ki ot mein hanphate ishwar ki jagah
ek manushya par karen bharosa
magar wo meri baat sunne ko taiyar nahin qati
wo apni hi kokh se bachche ko janm dena chahti hai
wo apni kokh se mera hi bachcha janna chahti hai
afsos wo iske liye mujhse lagaye baithi hai aas
main use kai bar is bare main samjhane ki karta hoon koshish
lekin wo har bar mujhe ye kahkar
kar deti hai niruttar ki koi kami nahin tummen
tumhare bare mein mujhse behtar kaun janta hoga
us mamle mein tumse zyada shaitan koi nahin hoga
ye aadim ichha uski mujhe aksar
baukhlane par kar deti hai majbur
uski is zid ki purti ke bare mein main
tarah tarah se sochta hoon, sochta kya hoon
apne hi bhitar chhatpatata hoon
kya kisi bhi tarah uski ye ichha nahin ho sakti puri
kya aisa nahin ho sakta ki meri anupasthiti mein
koi aaye aur usse kar jaye zabardasti
aur wo chupchap rah jaye sahkar
nahin bataye kisi ko, mujhe bhi nahin
aur phir jo parinam nikle wo mera kahlaye
ek baat main usse har bar puchhne ki sochta hoon
lekin har bar rah jata hoon sahamkar
kyon uska koi premi nahin purana
yadi han to kya wo ab bhi milti hai usse
yadi milti hai to kitna milti hai
mujhe lagta hai wo usse us tarah nahin milti
jis tarah milti hai mujhse, anyatha mere sir se
ye kalank kab ka mit gaya hota
lagta hai uska koi premi hi nahin
kash wo hota to aaj kitne kaam aata
kya aisa nahin ho sakta ki wo ghar mein hi
kar le kuch aisa waisa akhir aisa to nahin
we sab bhi meri tarah hon anuttirn
kisi ek ko bana le wo apna sajhidar
aisa nahin ki duniya mein kaam is tarah na chalte hon
phir ye theek bhi hoga, ghar ka sukh
bahega ghar mein hi, makkhan bhi mil jayega
aur nahin phutegi matki bhi
sochta hoon aur puri besharmi se sochta hoon
apne hi tal mein niche girkar sochta hoon
ki akhir kis sanket se samjhaun
use main ye sab, akhir is mamle mein
sab karna dharna to use hi hai
sab hona dhona to uske sath hi hai
kabhi kabhi to sochta hoon kyon na main hi bhej doon
uske pas kisi aur ko aur khu
khaDa ho jaun darwaze par lekar lathi
ek purush hone ke baad ek bachche ko pane ke liye
ye jante hue bhi ki bazi mere hath se
nikal bhi sakti hai bigaD bhi sakti hai baat
sab karne ke liye taiyar hoon main,
akhir ye baat ye to bus uske bhitar
ya phir sirf mere bhitar
ya hum donon ke bhitar hi to rahni hai
phir duniya kuch andaz lagati bhi hai to lagati rahe
jab hamare hi munh nahin khulne to
phir duniya ke khule hue munh ki taraf kya dekhana
aur jab main is tarah sochta hoon to mujhe
achchhi lagne lagti hai uski zid
ek bachche ko main bhale hi apne bachche ki tarah
chahta houn god lena lekin usse pahle
main bhi to yahi chahta hoon ki meri patni ki kokh se
ek bachcha le janm jo kahlaye mera
jise meri patni mera bachcha kahe
aur apni patni ke aage main use apna
jiske janm lene ke kuch din baad bakse mein se
main apni medical riporten nikalun
aur chupchap aag mein jhonk doon jakar

स्रोत :
पुस्तक : स्त्री मेरे भीतर (पृष्ठ 100)
रचनाकार : पवन करण
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.