हम पुराने दोस्त थे
‘थे’ पर इतना ज़ोर था
कि आमने-सामने बैठकर भी
हम अतीत थे
भविष्य में
एक गेंदे का फूल है
एक हँसती हुई बेवक़ूफ लड़की
(जो कमसिन है,
हम बूढ़े हो चुके)
इतने बरसों में
हम इतनी बातें कर चुके थे
कि उन बातों के धागे से
पूरी दुनिया को पूरा
तीन बार लपेटा जा सकता था
और ख़ामोशी ही वह ख़ज़ाना था
जिसे पाने के लिए
हमने अपने पिताओं का क़त्ल किया
फिर भी इसे उम्मीद ही कहिए
कि अब हम अपनी अजन्मी बेटियों का
सपना देखते हुए
अपने-अपने घर लौटना चाहते हैं
जबकि ‘लौटना’ कब का बेमानी हो चुका
‘विदाई’ और ‘जुदाई’ दो अलग-अलग शब्द हैं
और सच तो यह है
कि अब किसी भी बात के कोई मानी नहीं
इसलिए हम बिना कुछ कहे
उठे
और
मुड़
गए
hum purane dost the
‘the’ par itna zor tha
ki aamne samne baithkar bhi
hum atit the
bhawishya mein
ek gende ka phool hai
ek hansti hui bewquph laDki
(jo kamsin hai,
hum buDhe ho chuke)
itne barson mein
hum itni baten kar chuke the
ki un baton ke dhage se
puri duniya ko pura
teen bar lapeta ja sakta tha
aur khamoshi hi wo khazana tha
jise pane ke liye
hamne apne pitaon ka qatl kiya
phir bhi ise ummid hi kahiye
ki ab hum apni ajanmi betiyon ka
sapna dekhte hue
apne apne ghar lautna chahte hain
jabki ‘lautna’ kab ka bemani ho chuka
‘widai’ aur ‘judai’ do alag alag shabd hain
aur sach to ye hai
ki ab kisi bhi baat ke koi mani nahin
isliye hum bina kuch kahe
uthe
aur
muD
gaye
hum purane dost the
‘the’ par itna zor tha
ki aamne samne baithkar bhi
hum atit the
bhawishya mein
ek gende ka phool hai
ek hansti hui bewquph laDki
(jo kamsin hai,
hum buDhe ho chuke)
itne barson mein
hum itni baten kar chuke the
ki un baton ke dhage se
puri duniya ko pura
teen bar lapeta ja sakta tha
aur khamoshi hi wo khazana tha
jise pane ke liye
hamne apne pitaon ka qatl kiya
phir bhi ise ummid hi kahiye
ki ab hum apni ajanmi betiyon ka
sapna dekhte hue
apne apne ghar lautna chahte hain
jabki ‘lautna’ kab ka bemani ho chuka
‘widai’ aur ‘judai’ do alag alag shabd hain
aur sach to ye hai
ki ab kisi bhi baat ke koi mani nahin
isliye hum bina kuch kahe
uthe
aur
muD
gaye
स्रोत :
रचनाकार : शैलेंद्र साहू
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.