आदमी की अरक्षा की भावना का
मूल स्त्रोत कहाँ है
इसके बारे में आपको कोई मनोवैज्ञानिक
या समाजशास्त्री बेहतर बता सकता है।
कवि तो केवल
एक अरक्षित आदमी का बिंब पेश करता है।
लेकिन जब
उसकी कविताओं का मूल्यांकन
पुलिस करने लगती है
और वह महसूस करता है
कि उसकी कविताएँ
किताबें
और प्रियजनों के ख़त तक सुरक्षित नहीं।
और वह अपनी ताज़ा कविता या दिनचर्या में
किसी फूल का नाम नहीं ले सकता
किसी नदी में तैर नहीं सकता
किसी शराबी की आँखों में झाँक नहीं सकता।
क्योंकि फूल बारूदी दुर्गंध फैला सकते हैं
नदी गुरिल्ला बन सकती है
लैंप-पोस्ट के नीचे खड़ा शराबी
शहर का सबसे ख़तरनाक आदमी हो सकता है।
तब
वह ज़रूर एक समाजशास्त्री के पास जाता है
और एक विश्वास लाता है
कि कविता आदमी का निजी मामला नहीं
एक-दूसरे तक पहुँचने के लिए एक पुल है।
अगर पुल पर चलता हुआ आदमी ही सुरक्षित नहीं
तो पुल बनाने की क्या ज़रूरत है
वक़्त आ गया है
कि वही आदमी पुल बनाएगा
जो पुल पर चलते आदमी की हिफ़ाज़त कर सकेगा।
adami ki araksha ki bhavna ka
mool strot kahan hai
iske bare mein aapko koi manovaigyanik
ya samajashastri behtar bata sakta hai.
kavi to keval
ek arakshit adami ka bimb pesh karta hai.
lekin jab
uski kavitaon ka mulyankan
pulis karne lagti hai
aur wo mahsus karta hai
ki uski kavitayen
kitaben
aur priyajnon ke khat tak surakshit nahin.
aur wo apni taza kavita ya dincharya mein
kisi phool ka naam nahin le sakta
kisi nadi mein tair nahin sakta
kisi sharabi ki ankhon mein jhaank nahin sakta.
kyonki phool barudi durgandh phaila sakte hain
nadi gurilla ban sakti hai
laimp post ke niche khaDa sharabi
shahr ka sabse khatarnak adami ho sakta hai.
tab
wo zarur ek samajashastri ke paas jata hai
aur ek vishvas lata hai
ki kavita adami ka niji mamla nahin
ek dusre tak pahunchne ke liye ek pul hai.
agar pul par chalta hua adami hi surakshit nahin
to pul banane ki kya zarurat hai
vaqt aa gaya hai
ki vahi adami pul banayega
jo pul par chalte adami ki hifazat kar sakega.
adami ki araksha ki bhavna ka
mool strot kahan hai
iske bare mein aapko koi manovaigyanik
ya samajashastri behtar bata sakta hai.
kavi to keval
ek arakshit adami ka bimb pesh karta hai.
lekin jab
uski kavitaon ka mulyankan
pulis karne lagti hai
aur wo mahsus karta hai
ki uski kavitayen
kitaben
aur priyajnon ke khat tak surakshit nahin.
aur wo apni taza kavita ya dincharya mein
kisi phool ka naam nahin le sakta
kisi nadi mein tair nahin sakta
kisi sharabi ki ankhon mein jhaank nahin sakta.
kyonki phool barudi durgandh phaila sakte hain
nadi gurilla ban sakti hai
laimp post ke niche khaDa sharabi
shahr ka sabse khatarnak adami ho sakta hai.
tab
wo zarur ek samajashastri ke paas jata hai
aur ek vishvas lata hai
ki kavita adami ka niji mamla nahin
ek dusre tak pahunchne ke liye ek pul hai.
agar pul par chalta hua adami hi surakshit nahin
to pul banane ki kya zarurat hai
vaqt aa gaya hai
ki vahi adami pul banayega
jo pul par chalte adami ki hifazat kar sakega.
स्रोत :
पुस्तक : संपूर्ण कविताएँ (पृष्ठ 61)
रचनाकार : कुमार विकल
प्रकाशन : आधार प्रकाशन
संस्करण : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.