चुनौतियों से भरे इस समय में
ऊबड़-खाबड़ पथरीली राहों पर चलते हुए
जब कोई भी किसी को नहीं बुलाता
तब ऐसे में बुलाना चाहता हूँ मैं तुम्हें
हरी घास से भरी पगडंडी
विषधर साँप में बदल गई है अचानक
और उस पर चलने के अलावा
कोई चारा भी नहीं है
और उसके डँसने का डर भी है साथ-साथ
तब ऐसे समय में गुनगुनाना चाहता हूँ
कोई गीत तुम्हारे साथ
जब फूल-फल देने वाले पेड़ों
से गोले-बारूद निकालने के लिए
की जा रही हो सियासत
और इस सियासत से नज़रें चुरा कर
तुम्हें फूल भेजना मानी जाए सबसे बड़ी कायरता
तब ऐसे समय में मैं गुलदस्ता लिए
करना चाहता हूँ तुम्हारा इंतिज़ार
ऐसे ख़तरनाक समय में
जब जेब में चाक़ू रखना कोई अपराध नहीं हो
और लोग एक-दूसरे से डरते हुए रास्ते बदलते हों
जब हर तरफ़ माचिस की बिक्री बढ़ गई हो
और बस्तियों में आग लगने की आशंका
सबसे अधिक हो
तब ऐसे समय में तुम्हें एक बाल्टी पानी लेकर आने के लिए कहना चाहता हूँ
तुम्हीं कहो,
इस तरह मैंने पहले कब पुकारा है तुम्हें?
chunautiyon se bhare is samay mein
ubaD khabaD pathrili rahon par chalte hue
jab koi bhi kisi ko nahin bulata
tab aise mein bulana chahta hoon main tumhein
hari ghas se bhari pagDanDi
wishadhar sanp mein badal gai hai achanak
aur us par chalne ke alawa
koi chara bhi nahin hai
aur uske Dansane ka Dar bhi hai sath sath
tab aise samay mein gungunana chahta hoon
koi geet tumhare sath
jab phool phal dene wale peDon
se gole barud nikalne ke liye
ki ja rahi ho siyasat
aur is siyasat se nazren chura kar
tumhein phool bhejna mani jaye sabse baDi kayarta
tab aise samay mein main guldasta liye
karna chahta hoon tumhara intizar
aise khatarnak samay mein
jab jeb mein chaqu rakhna koi apradh nahin ho
aur log ek dusre se Darte hue raste badalte hon
jab har taraf machis ki bikri baDh gai ho
aur bastiyon mein aag lagne ki ashanka
sabse adhik ho
tab aise samay mein tumhein ek balti pani lekar aane ke liye kahna chahta hoon
tumhin kaho,
is tarah mainne pahle kab pukara hai tumhein?

स्रोत :
रचनाकार : गुलज़ार हुसैन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.