रहा हूँ वतन का मैं अब तक पुजारी
अभी तक नहीं उतरी इसकी ख़ुमारी
कि गुज़रे भले यों यहाँ उम्र सारी
लेकिन प्रबल सोच रहती है जारी
मेरे भाव यह जानने को हैं आतुर
वतन पूजूँ या पूजूँ मैं वतन वाले?
मेरा देश ही तो मेरी जागीर है
मेरी आत्मा का यही तो शरीर है
आदि यही मेरा आख़िरी नीर है
मुझे इसका दाल दलिया भी खीर है
न जाने क्यों चिंता को यों मन उछाले
वतन पूजूँ या पूजूँ मैं वतन वाले?
देशवासी के मन में है जो भी हरारत
इसे मान बैठे न कोई शरारत
यह भी बूझने योग्य है इक इबारत
कुटिया में ठहराव है इक इमारत
कई प्रश्न इस सिलसिले ने उछाले
वतन पूजूँ या पूजूँ मैं वतन वाले?
वतन वालों ने ही तो दी थी दुहाई
कि जिसने वतन में नई रूह जगाई
हुई दूर तक जिसकी ऐसी सुनाई
वतन से विदेशी ने गठरी उठाई
अभी तक यही प्रश्न पीछे है छूटा
वतन पूजूँ या पूजूँ मैं वतन वाले?
लगे यों कि सीने में ही तीर मारा
यही भ्रम है हमने क्या-क्या बिसारा
मन कोई अनचाहे ख़्यालों में खोया
संशय ने कैसा यहाँ बीज बोया
अभी आओ निर्णय, हम इस पे करा लें
वतन पूजूँ या पूजूँ मैं वतन वाले?
यों लगता है जैसे कोई चोट लगती
कि तीरों की सीधी कसक है मचलती
न दुश्मन है कोई, न कोई अदावत
कोई माने रोना, तो कोई बग़ावत
प्रकट हो रहे सब जो अरमाँ थे पाले
वतन पूज लूँ या पूजूँ मैं वतन वाले?
वतन के पेट में छिपी है खानें
वतन वाला है भूखा निकले क्यों जानें
वतन के चरणों में नदियाँ सुहातीं
वतन वाले प्यासे, तो है जान प्यासी
वतन वालों के नहीं, कुछ भी हवाले
वतन पूजूँ या पूजूँ मैं वतन वाले?
वतन के पवन-पानी में एक पीड़ा
वतन वाला है करता जो भी क्रीड़ा
वतन का है पाँव संग अमीरों के लगता
वतन वाले का कुर्ता फटेहाल रहता
ये पूँजी पूजूँ या पूजूँ निवाले
वतन पूजूँ कि पूजूँ मैं वतन वाले?
वतन की है देह आत्मा वतन वाली
वतन के पुष्पों में महक शोभा वाली
वतन की नज़र रोशनी वतन वाला
वतन बूढ़े का सहारा वतन वाला
वतन वाले को अलग कर क्यों उछाले
वतन पूजूँ कि पूजूँ मैं वतन वाले?
असल में वतन वाला ही तो वतन है
वतन-माला का मनका यह इक रत्न है
वतन जैसा भी है, इसी का वतन है
सिर्फ़ ज़ज़्बा नहीं, यह सच्चा कथन है
बनाई जिसने राय जैसी बना ले
वतन पूजूँ कि पूजूँ वतन वाले?
raha hoon watan ka main ab tak pujari
abhi tak nahin utri iski khumari
ki guzre bhale yon yahan umr sari
lekin prabal soch rahti hai jari
mere bhaw ye janne ko hain aatur
watan pujen ya pujen main watan wale?
mera desh hi to meri jagir hai
meri aatma ka yahi to sharir hai
adi yahi mera akhiri neer hai
mujhe iska dal daliya bhi kheer hai
na jane kyon chinta ko yo man uchhale
watan pujun ya pujun main watan wale?
deshawasi ke man mein hai jo bhi hararat
ise man baithe na koi shararat
ye bhi bujhne yogya hai ek ibarat
kutiya mein thahraw hai ek imarat
kai parashn is silsile ne uchhale
watan pujun ya pujun main watan wale?
watan walon ne hi to di thi duhai
ki jisne watan mein nai rooh jagai
hui door tak jiski aisi sunai
watan se wideshi ne gathri uthai
abhi tak yahi parashn pichhe hai chhuta
watan pujun ya pujun main watan wale?
lage yon ki sine mein hi teer mara
yahi bhram hai hamne kya kya bisara
man koi anchahe khyalon mein khoya
sanshay ne kaisa yahan beej boya
abhi aao nirnay, hum is pe kara len
watan pujun ya pujun main watan wale?
yon lagta hai jaise koi chot lagti
ki tiron ki sidhi kasak hai machalti
na dushman hai koi, na koi adawat
koi mane rona to koi baghawat
prakat ho rahe sab jo arman the pale
watan pooj loon ya pujun main watan wale?
watan ke pet mein chhipi hai khanen
watan wala hai bhukha nikle kyon janen
watan ke charnon mein nadiyan suhatin
watan wale pyase, to hai jaan pyasi
watan walon ke nahin, kuch bhi hawale
watan pujun ya pujun main watan wale?
watan ke pawan pani mein ek piDa
watanwala hai karta jo bhi kriDa
watan ka hai panw sang amiron ke lagta
watan wale ka kurta phatehal rahta
ye punji pujun ya pujun niwale
watan pujun ki pujun main watan wale?
watan ki hai deh aatma watan wali
watan ke pushpon mein mahak shobhawali
watan ki nazar roshni watan wala
watan buDhe ka sahara watan wala
watan wale ko alag kar kyon uchhale
watan pujun ki pujun main watan wale?
asal mein watan wala hi to watan hai
watan mala ka manka ye ek ratn hai
watan jaisa bhi hai, isi ka watan hai
sirf zazba nahin, ye sachcha kathan hai
banai jisne ray jaisi bana le
watan ko pujun ki pujun watan wale?
raha hoon watan ka main ab tak pujari
abhi tak nahin utri iski khumari
ki guzre bhale yon yahan umr sari
lekin prabal soch rahti hai jari
mere bhaw ye janne ko hain aatur
watan pujen ya pujen main watan wale?
mera desh hi to meri jagir hai
meri aatma ka yahi to sharir hai
adi yahi mera akhiri neer hai
mujhe iska dal daliya bhi kheer hai
na jane kyon chinta ko yo man uchhale
watan pujun ya pujun main watan wale?
deshawasi ke man mein hai jo bhi hararat
ise man baithe na koi shararat
ye bhi bujhne yogya hai ek ibarat
kutiya mein thahraw hai ek imarat
kai parashn is silsile ne uchhale
watan pujun ya pujun main watan wale?
watan walon ne hi to di thi duhai
ki jisne watan mein nai rooh jagai
hui door tak jiski aisi sunai
watan se wideshi ne gathri uthai
abhi tak yahi parashn pichhe hai chhuta
watan pujun ya pujun main watan wale?
lage yon ki sine mein hi teer mara
yahi bhram hai hamne kya kya bisara
man koi anchahe khyalon mein khoya
sanshay ne kaisa yahan beej boya
abhi aao nirnay, hum is pe kara len
watan pujun ya pujun main watan wale?
yon lagta hai jaise koi chot lagti
ki tiron ki sidhi kasak hai machalti
na dushman hai koi, na koi adawat
koi mane rona to koi baghawat
prakat ho rahe sab jo arman the pale
watan pooj loon ya pujun main watan wale?
watan ke pet mein chhipi hai khanen
watan wala hai bhukha nikle kyon janen
watan ke charnon mein nadiyan suhatin
watan wale pyase, to hai jaan pyasi
watan walon ke nahin, kuch bhi hawale
watan pujun ya pujun main watan wale?
watan ke pawan pani mein ek piDa
watanwala hai karta jo bhi kriDa
watan ka hai panw sang amiron ke lagta
watan wale ka kurta phatehal rahta
ye punji pujun ya pujun niwale
watan pujun ki pujun main watan wale?
watan ki hai deh aatma watan wali
watan ke pushpon mein mahak shobhawali
watan ki nazar roshni watan wala
watan buDhe ka sahara watan wala
watan wale ko alag kar kyon uchhale
watan pujun ki pujun main watan wale?
asal mein watan wala hi to watan hai
watan mala ka manka ye ek ratn hai
watan jaisa bhi hai, isi ka watan hai
sirf zazba nahin, ye sachcha kathan hai
banai jisne ray jaisi bana le
watan ko pujun ki pujun watan wale?
स्रोत :
पुस्तक : बीसवीं सदी का पंजाबी काव्य (पृष्ठ 58)
संपादक : सुतिंदर सिंह नूर
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक फूलचंद मानव, योगेश्वर कौर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.