जितनी मिठास तुम्हारी ज़ुबान पर है
उतना ही नमक तुम्हारे देह से लिपटा हुआ है
सौंदर्य शाम को पीपल पर
अटके चाँद से तुम्हारी खिड़की पर उतरता है
और भोर भर तुम्हें सँवारा करता है
तुम एक ऐसी गुलाब हो
जिसमे कलियों का कच्चापन अभी बाक़ी है
बेफ़िक्र-अल्हड़-बेपरवाह
लड़की
तुम देह में ढली हुई एक नदी हो
जिसके अलावा इस दुनिया की हर शै रेत है
तुम्हारा शरीर
जैसे हरसिंगार की लदी हुई डाल है
जिसके नीचे मेरा हृदय नाग की तरह डोल रहा है
तुम स्वर्ग से उतरी हुई वह नायिका हो
जो प्रेमियों को प्रेम
काम को वासना
साधु को श्रद्धा सिखाती है
तुम्हारे केश
काजल से बने रेशम के धागे हैं
तुम्हारी आँखों की पुतलियों में
बचपन शरारत बनकर नाचता फिरता है
तुम्हारे होंठ काम के खिंचे हुए धनुष हैं
इन पर थरथराती मुस्कान मोनालिसा की याद दिलाते हैं
तुम्हारे कंधों पर वासना का वास है
तुम्हारे स्तन
अड़हुल के दो फूल हैं
तुम्हारी नाभि
अमृत-कुंड है
तुम्हारी पीठ
आशिक़ों का आईना है
तुम्हारी जाँघें
प्रीतम को सुलाने का उत्तम प्रदेश हैं
तुम्हारी चाल हिरणियों को कुलाचें भरना सिखाती है
आशिक़ों को जान देना
तुम्हारे महावर लगे पैर
शुभता के प्रतीक हैं
इन्हें घर के भीतर आने दो
तुम हो तो ये घर
आँगन
ये जीवन ख़ुश है
कभी अकेली अँधियारी रातों में
आना मेरे कलेजे पर पाँव रख देना
jitni mithas tumhari zuban par hai
utna hi namak tumhare deh se lipta hua hai
saundarya
shaam ko pipal par atke chaand se tumhari khiDki par utarta hai
aur bhor bhar tumhein sanvara karta hai
tum ek aisi gulab ho
jisme kaliyon ka kachchapan abhi baki hai
be fikr alhaD beparvah
laDki
tum deh mein Dhali hui ek nadi ho
jiske alava is duniya ka har shai ret hai
tumhara sharir
jaise harsingar ki ladi hui Daal hai
jiske niche mera hriday naag ki tarah Dol raha hai
tum svarg se utri hui wo nayika ho
jo
premiyon ko prem
kaam ko vasana
sadhu ko shraddha
sikhati hai
tumhare kesh
kajal se bane resham ke dhage hain
tumhari ankhon ki putaliyon mein bachpan shararat ban kar nachta phirta hai
tumhare hoth
kaam ke khinche hue dhanush hain
inpar thartharati muskan monalisa ki yaad dilate hain
tumhare kandhon par vasana ka vaas hai
tumhare stan
uDhul ke do phool hain
tumhari nabhi
amrit kunD hai
tumhari peeth
ashikon ka aina hain
tumhari janghen
pritam ko sulane ka uttam pardesh hai
tumhari chaal hiraniyon ko kulachen bharna sikhate hain
ashikon ko jaan dena
tumhare mahavar lage pair
shubhta ke pratik hain
inhen ghar ke bhitar aane do
tum ho to ye ghar
angan
ye jivan khush hai
kabhi akeli andhiyari raton mein aana mere kaleje par paanv rakh dena
jitni mithas tumhari zuban par hai
utna hi namak tumhare deh se lipta hua hai
saundarya
shaam ko pipal par atke chaand se tumhari khiDki par utarta hai
aur bhor bhar tumhein sanvara karta hai
tum ek aisi gulab ho
jisme kaliyon ka kachchapan abhi baki hai
be fikr alhaD beparvah
laDki
tum deh mein Dhali hui ek nadi ho
jiske alava is duniya ka har shai ret hai
tumhara sharir
jaise harsingar ki ladi hui Daal hai
jiske niche mera hriday naag ki tarah Dol raha hai
tum svarg se utri hui wo nayika ho
jo
premiyon ko prem
kaam ko vasana
sadhu ko shraddha
sikhati hai
tumhare kesh
kajal se bane resham ke dhage hain
tumhari ankhon ki putaliyon mein bachpan shararat ban kar nachta phirta hai
tumhare hoth
kaam ke khinche hue dhanush hain
inpar thartharati muskan monalisa ki yaad dilate hain
tumhare kandhon par vasana ka vaas hai
tumhare stan
uDhul ke do phool hain
tumhari nabhi
amrit kunD hai
tumhari peeth
ashikon ka aina hain
tumhari janghen
pritam ko sulane ka uttam pardesh hai
tumhari chaal hiraniyon ko kulachen bharna sikhate hain
ashikon ko jaan dena
tumhare mahavar lage pair
shubhta ke pratik hain
inhen ghar ke bhitar aane do
tum ho to ye ghar
angan
ye jivan khush hai
kabhi akeli andhiyari raton mein aana mere kaleje par paanv rakh dena
स्रोत :
रचनाकार : अरमान आनंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.