उदास और ज़िद्दी अँधेरे के
एकांत में
बेधड़क नाचती जुगनुएँ
मर जाया करती हैं
बहुत जल्द...
जुगनुओं का
अँधेरे से प्रेम होना
स्वाभाविक है
पिया की संगति में
कैसे चमक उठती है
बिचारी
नहीं जानतीं कि
अँधेरे का हृदय
पत्थर है...
एक बर्फ़ीला पत्थर
जिस पर वे अपना सिर
बेहिसाब टकरा रही हैं...
जब-जब मरती है कोई जुगनू
मैं बहुत परेशान होती हूँ
पर जानती हूँ
ये ढीठ हैं
ये कभी नहीं छोड़ेंगी
अँधेरे के हृदय को भेदना
सौ बार मरेंगी
बार-बार उठेंगी
करती रहेंगी प्रयास
चाहे पत्थर टूटे
ना टूटे...
प्रेम, शहादत माँगता है!
udaas aur ziddi andhere ke
ekaant men
bedhaDak nachti juganuen
mar jaya karti hain
bahut jald. . .
juganuon ka
andhere se prem hona
svabhavik hai
piya ki sangati men
kaise chamak uthti hai
bichari
nahin jantin ki
andhere ka hirdai
patthar hai. . .
ek barfila patthar
jis par ve apna sir
behisab takra rahi hain. . .
jab jab marti hai koi jugnu
main bahut pareshan hoti hoon
par janti hoon
ye Dheeth hain
ye kabhi nahin chhoDengi
andhere ke hirdai ko bhedna
sau baar marengi
baar baar uthengi
karti rahengi prayas
chahe patthar tute
na tute. . .
prem, shahadat mangta hai!
udaas aur ziddi andhere ke
ekaant men
bedhaDak nachti juganuen
mar jaya karti hain
bahut jald. . .
juganuon ka
andhere se prem hona
svabhavik hai
piya ki sangati men
kaise chamak uthti hai
bichari
nahin jantin ki
andhere ka hirdai
patthar hai. . .
ek barfila patthar
jis par ve apna sir
behisab takra rahi hain. . .
jab jab marti hai koi jugnu
main bahut pareshan hoti hoon
par janti hoon
ye Dheeth hain
ye kabhi nahin chhoDengi
andhere ke hirdai ko bhedna
sau baar marengi
baar baar uthengi
karti rahengi prayas
chahe patthar tute
na tute. . .
prem, shahadat mangta hai!
स्रोत :
रचनाकार : कृतिका किरण
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.