कितना अच्छा होता
प्रेम में आदमी हमेशा डूबा रह पाता
दर्द में डूबे रहने के बजाए
धीरे-धीरे मरता हुआ आदमी
पतझड़ का मौसम
खारा पानी
पागल कर देने वाली बेचैनी
अवचेतन का चेतन बनते जाना
नसों का फट जाना
सारे ख़ून में दर्द का फैलते जाना
मुझे हमेशा से पसंद नहीं थे
पर कहाँ लिखा है
जिन चीज़ों को आप पसंद न करें
वे आपको भी पसंद न करें
असीम पीड़ाएँ तैरती ही रहती हैं
दुनिया का पवित्रतम जल
किसी प्रेमी की आँख से गिरे आँसू हैं
जो धरती को उर्वर बनाते हैं
यह अलग बात है कि
खेत का एक कोना
उस वक़्त बंजर भी हो जाता है
और आसमान से किसी तारे का
एक हिस्सा टूट कर
बहुत तेज़ी से
धरती की तरफ़ बढ़ा चला आता है।
जितना डूब कर करेगा
कोई प्रेम
पीड़ाएँ उसके इंतज़ार में बैठी मिलेंगी
उतने ही गहरे उसे डुबोने के लिए
लहरें पूरी ताक़त से
अपने ही शरीर में हमें
तली से लगाने लगती हैं
बहुत से गहरे प्रेम में डूबे
प्यारे सच्चे लोग
समुंदर किनारे मिलते हैं
जिनके साथ ज़िंदगी वादाख़िलाफ़ी
कर चुकी होती है
कुछ और दूर साथ चलने के वादे से
उस दिन पत्थर धातुएँ शंख
मर जाते हैं थोड़ा-सा और
थोड़ा-सा और खारा हो जाता है
समुंदर का पानी
कहीं कोई एक फूल
अपनी डाली में लगे-लगे
ही मुरझा जाता है
नागफनी में
उस वक़्त
एक काँटा और उग आता है।
लहरें प्रेम में गहरे डूबे हुए लोगों को पहचान लेती हैं।
kitna achchha hota
prem mein adami hamesha Duba rah pata
dard mein Dube rahne ke bajaye
dhire dhire marta hua adami
patjhaD ka mausam
khara pani
pagal kar dene wali bechaini
awchetan ka chetan bante jana
nason ka phat jana
sare khoon mein dard ka phailte jana
mujhe hamesha se pasand nahin the
par kahan likha hai
jin chizon ko aap pasand na karen
we aapko bhi pasand na karen
asim piDayen tairti hi rahti hain
duniya ka pawitrtam jal
kisi premi ki ankh se gire ansu hain
jo dharti ko urwar banate hain
ye alag baat hai ki
khet ka ek kona
us waqt banjar bhi ho jata hai
aur asman se kisi tare ka
ek hissa toot kar
bahut tezi se
dharti ki taraf baDha chala aata hai
jitna Doob kar karega
koi prem
piDayen uske intzar mein baithi milengi
utne hi gahre use Dubone ke liye
lahren puri taqat se
apne hi sharir mein hamein
tali se lagane lagti hain
bahut se gahre prem mein Dube
pyare sachche log
samundar kinare milte hain
jinke sath zindagi wadakhilafi
kar chuki hoti hai
kuch aur door sath chalne ke wade se
us din patthar dhatuen shankh
mar jate hain thoDa sa aur
thoDa sa aur khara ho jata hai
samundar ka pani
kahin koi ek phool
apni Dali mein lage lage
hi murjha jata hai
nagaphni mein
us waqt
ek kanta aur ug aata hai
lahren prem mein gahre Dube hue logon ko pahchan leti hain
kitna achchha hota
prem mein adami hamesha Duba rah pata
dard mein Dube rahne ke bajaye
dhire dhire marta hua adami
patjhaD ka mausam
khara pani
pagal kar dene wali bechaini
awchetan ka chetan bante jana
nason ka phat jana
sare khoon mein dard ka phailte jana
mujhe hamesha se pasand nahin the
par kahan likha hai
jin chizon ko aap pasand na karen
we aapko bhi pasand na karen
asim piDayen tairti hi rahti hain
duniya ka pawitrtam jal
kisi premi ki ankh se gire ansu hain
jo dharti ko urwar banate hain
ye alag baat hai ki
khet ka ek kona
us waqt banjar bhi ho jata hai
aur asman se kisi tare ka
ek hissa toot kar
bahut tezi se
dharti ki taraf baDha chala aata hai
jitna Doob kar karega
koi prem
piDayen uske intzar mein baithi milengi
utne hi gahre use Dubone ke liye
lahren puri taqat se
apne hi sharir mein hamein
tali se lagane lagti hain
bahut se gahre prem mein Dube
pyare sachche log
samundar kinare milte hain
jinke sath zindagi wadakhilafi
kar chuki hoti hai
kuch aur door sath chalne ke wade se
us din patthar dhatuen shankh
mar jate hain thoDa sa aur
thoDa sa aur khara ho jata hai
samundar ka pani
kahin koi ek phool
apni Dali mein lage lage
hi murjha jata hai
nagaphni mein
us waqt
ek kanta aur ug aata hai
lahren prem mein gahre Dube hue logon ko pahchan leti hain
स्रोत :
रचनाकार : दीपक जायसवाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.