सोचो कि तुम कोई और होतीं
मैं कोई और होता
तो क्या होता
हम बाग़ के किसी कोने में
औरों की तरह प्यार कर रहे होते
दुनिया हमें तबाह करने के तमाम रास्ते ढूँढ़ रही होती
सर्दियों की धुँध
जून रात की गर्म छतें
ख़ाली उम्रदराज़ कोठरियाँ
बाग़ के कँटीले झुरमुट
सुनसान फूलों के खेत
हमारे ठिकाने होते
लंबी उम्र के लिए प्यार को
एक अदद पर्दे की तलाश होती है
तुम कोई और भी होतीं
तब भी यूँ ही मुझसे मिलतीं
यूँ ही हँसतीं
खिलखिलातीं
और शरमा जातीं
मैं कोई और भी होता
तब भी तुम्हारी शर्म को
बाँहों में यूँ ही समेट लेता
तुम हम कोई भी हों
प्यार ही हमारा काम है
कामगार सिर्फ़ कामगार होते हैं
सूरतें बदलने से उनके काम
और तक़दीर में कोई फ़र्क़ नहीं पड़ता
socho ki tum koi aur hoti
main koi aur hota
to kya hota
hum baag ke kisi kone mein auron ki tarah pyaar kar rahe hote
duniyan hamein tabah karne ke tamam raste DhoonDh rahi hoti
sardiyon ki dhundh
joon raat ki garm chhaten
khali umradraz kothriyan
baag ke kantile jhurmut
sunsan phulon ke khet
hamare thikane hote
lambi umr ke liye pyaar ko ek adad parde ki talash hoti hai
tum koi aur bhi hoti
tab bhi yoon hi mujhse milti
yoon hi hansti
khilkhilati
aur sharma jati
main koi aur bhi hota
tab bhi
tumhari sharm ko bahon mein yoon hi samet leta
tum hum koi bhi hon
pyaar hi hamara kaam hai
kamgar sirf kamgar hote hain
surten badalne se unke kaam aur taqdir mein koi farq nahin paDta
socho ki tum koi aur hoti
main koi aur hota
to kya hota
hum baag ke kisi kone mein auron ki tarah pyaar kar rahe hote
duniyan hamein tabah karne ke tamam raste DhoonDh rahi hoti
sardiyon ki dhundh
joon raat ki garm chhaten
khali umradraz kothriyan
baag ke kantile jhurmut
sunsan phulon ke khet
hamare thikane hote
lambi umr ke liye pyaar ko ek adad parde ki talash hoti hai
tum koi aur bhi hoti
tab bhi yoon hi mujhse milti
yoon hi hansti
khilkhilati
aur sharma jati
main koi aur bhi hota
tab bhi
tumhari sharm ko bahon mein yoon hi samet leta
tum hum koi bhi hon
pyaar hi hamara kaam hai
kamgar sirf kamgar hote hain
surten badalne se unke kaam aur taqdir mein koi farq nahin paDta
स्रोत :
रचनाकार : अरमान आनंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.