पिता की बढ़ती उम्र के साथ-साथ
साइकिल बूढ़ी होती गई
और पिता का प्रेम बढ़ता गया
सचमुच इतना प्रेम
कि पैदल होने के बाद
साइकिल पिता के साथ
पैदल हो जाती हैआज भी
जी हाँ,
मैंने पिता की साइकिल को
पैदल चलते देखा है।
मान्यता ऐसी है कि
साइकिल के साथ पिता का पैदल होना
अथवा पिता के साथ साइकिल का पैदल होना
अब फलाने के पिताजी की पहचान है।
यक़ीनन पिता का प्रेम
जितना अपने बच्चों से है
उतना ही
चौबीस साल पुरानी
साइकिल से भी।
सचमुच
साइकिल चलाते हुए पिताजी
हमेशा जवान दिखते हैं।
पिता की साइकिल को
गाँव का हर आदमी
पहचानता है।
साइकिल में करियर और स्टैंड के न होने के साथ-साथ
घंटी का ख़राब होना
पिता की साइकिल होना है।
महज़ कहने भर के लिए
पिताजी साइकिल से चलते हैं
और साइकिल पिताजी से...
सच तो यह है कि
पिताजी और साइकिल
दोनों पैदल चलते हैं।
सचमुच तुम्हारी साइकिल का पुराना ताला
उसमें लिपटी हुई जर्जर सीकड़
जब हनुमान मंदिर के छड़ों में नाहक़ जकड़ दी जाती है
तो बच्चे सवाल करते हैं
बाबा! बताओ इतनी पुरानी साइकिल को कोई पूछेगा क्या?
यक़ीनन
पिताजी को पुराने सामानों को सहेजकर रखने की पुरानी आदत है
पिताजी सहेजकर रखते हैं कबाड़े को भी
अपनी पुरानी मान्यताओं के साथ
इसीलिए पिता की नज़र में
उनकी साइकिल जवान है, आज भी।
दुनिया में ऐसे पिता बहुत कम होते हैं
जिनकी साइकिल को
पिता के साथ-साथ
चलाती होगी उनकी तीसरी पुस्त भी
या चलती होगी किसी पिता की तीसरी पुस्त
चौबीस इंच की साइकिल से
आज भी।
pita ki baDhti umr ke sath sath
cycle buDhi hoti gai
aur pita ka prem baDhta gaya
sachmuch itna prem
ki paidal hone ke baad
cycle pita ke sath
paidal ho jati haiaj bhi
ji han,
mainne pita ki cycle ko
paidal chalte dekha hai
manyata aisi hai ki
cycle ke sath pita ka paidal hona
athwa pita ke sath cycle ka paidal hona
ab phalane ke pitaji ki pahchan hai
yaqinan pita ka prem
jitna apne bachchon se hai
utna hi
chaubis sal purani
cycle se bhi
sachmuch
cycle chalate hue pitaji
hamesha jawan dikhte hain
pita ki cycle ko
ganw ka har adami
pahchanta hai
cycle mein kariyar aur stainD ke na hone ke sath sath
ghanti ka kharab hona
pita ki cycle hona hai
mahz kahne bhar ke liye
pitaji cycle se chalte hain
aur cycle pitaji se
sach to ye hai ki
pitaji aur cycle
donon paidal chalte hain
sachmuch tumhari cycle ka purana tala
usmen lipti hui jarjar sikaD
jab hanuman mandir ke chhaDon mein nahaq jakaD di jati hai
to bachche sawal karte hain
baba! batao itni purani cycle ko koi puchhega kya?
yaqinan
pitaji ko purane samanon ko sahejkar rakhne ki purani aadat hai
pitaji sahejkar rakhte hain kabaDe ko bhi
apni purani manytaon ke sath
isiliye pita ki nazar mein
unki cycle jawan hai, aaj bhi
duniya mein aise pita bahut kam hote hain
jinki cycle ko
pita ke sath sath
chalati hogi unki tisri pust bhi
ya chalti hogi kisi pita ki tisri pust
chaubis inch ki cycle se
aj bhi
pita ki baDhti umr ke sath sath
cycle buDhi hoti gai
aur pita ka prem baDhta gaya
sachmuch itna prem
ki paidal hone ke baad
cycle pita ke sath
paidal ho jati haiaj bhi
ji han,
mainne pita ki cycle ko
paidal chalte dekha hai
manyata aisi hai ki
cycle ke sath pita ka paidal hona
athwa pita ke sath cycle ka paidal hona
ab phalane ke pitaji ki pahchan hai
yaqinan pita ka prem
jitna apne bachchon se hai
utna hi
chaubis sal purani
cycle se bhi
sachmuch
cycle chalate hue pitaji
hamesha jawan dikhte hain
pita ki cycle ko
ganw ka har adami
pahchanta hai
cycle mein kariyar aur stainD ke na hone ke sath sath
ghanti ka kharab hona
pita ki cycle hona hai
mahz kahne bhar ke liye
pitaji cycle se chalte hain
aur cycle pitaji se
sach to ye hai ki
pitaji aur cycle
donon paidal chalte hain
sachmuch tumhari cycle ka purana tala
usmen lipti hui jarjar sikaD
jab hanuman mandir ke chhaDon mein nahaq jakaD di jati hai
to bachche sawal karte hain
baba! batao itni purani cycle ko koi puchhega kya?
yaqinan
pitaji ko purane samanon ko sahejkar rakhne ki purani aadat hai
pitaji sahejkar rakhte hain kabaDe ko bhi
apni purani manytaon ke sath
isiliye pita ki nazar mein
unki cycle jawan hai, aaj bhi
duniya mein aise pita bahut kam hote hain
jinki cycle ko
pita ke sath sath
chalati hogi unki tisri pust bhi
ya chalti hogi kisi pita ki tisri pust
chaubis inch ki cycle se
aj bhi
स्रोत :
रचनाकार : प्रदीप त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.