पिता की छोटी-छोटी बहुत-सी तस्वीरें
पूरे घर में बिखरी हैं
उनकी आँखों में कोई पारदर्शी चीज़
साफ़ चमकती है
वह अच्छाई है या साहस
तस्वीर में पिता खाँसते नहीं
व्याकुल नहीं होते
उनके हाथ-पैर में दर्द नहीं होता
वे झुकते नहीं समझौते नहीं करते
एक दिन पिता अपनी तस्वीर की बग़ल में
खड़े हो जाते हैं और समझाने लगते हैं
जैसे अध्यापक बच्चों को
एक नक़्शे के बारे में बताता है
पिता कहते हैं मैं अपनी तस्वीर जैसा नहीं रहा
लेकिन मैंने जो नए कमरे जोड़े हैं
इस पुराने मकान में उन्हें तुम ले लो
मेरी अच्छाई ले लो उन बुराइयों से जूझने के लिए
जो तुम्हें रास्ते में मिलेंगी
मेरी नींद मत लो मेरे सपने लो
मैं हूँ कि चिंता करता हूँ व्याकुल होता हूँ
झुकता हूँ समझौते करता हूँ
हाथ-पैर में दर्द से कराहता हूँ
पिता की तरह खाँसता हूँ
देर तक पिता की तस्वीर देखता हूँ।
pita ki chhoti chhoti bahut si taswiren
pure ghar mein bikhri hain
unki ankhon mein koi paradarshi cheez
saf chamakti hai
wo achchhai hai ya sahas
taswir mein pita khanste nahin
wyakul nahin hote
unke hath pair mein dard nahin hota
we jhukte nahin samjhaute nahin karte
ek din pita apni taswir ki baghal mein
khaDe ho jate hain aur samjhane lagte hain
jaise adhyapak bachchon ko
ek naqshe ke bare mein batata hai
pita kahte hain main apni taswir jaisa nahin raha
lekin mainne jo nae kamre joDe hain
is purane makan mein unhen tum le lo
meri achchhai le lo un buraiyon se jujhne ke liye
jo tumhein raste mein milengi
meri neend mat lo mere sapne lo
main hoon ki chinta karta hoon wyakul hota hoon
jhukta hoon samjhaute karta hoon
hath pair mein dard se karahta hoon
pita ki tarah khansata hoon
der tak pita ki taswir dekhta hoon
pita ki chhoti chhoti bahut si taswiren
pure ghar mein bikhri hain
unki ankhon mein koi paradarshi cheez
saf chamakti hai
wo achchhai hai ya sahas
taswir mein pita khanste nahin
wyakul nahin hote
unke hath pair mein dard nahin hota
we jhukte nahin samjhaute nahin karte
ek din pita apni taswir ki baghal mein
khaDe ho jate hain aur samjhane lagte hain
jaise adhyapak bachchon ko
ek naqshe ke bare mein batata hai
pita kahte hain main apni taswir jaisa nahin raha
lekin mainne jo nae kamre joDe hain
is purane makan mein unhen tum le lo
meri achchhai le lo un buraiyon se jujhne ke liye
jo tumhein raste mein milengi
meri neend mat lo mere sapne lo
main hoon ki chinta karta hoon wyakul hota hoon
jhukta hoon samjhaute karta hoon
hath pair mein dard se karahta hoon
pita ki tarah khansata hoon
der tak pita ki taswir dekhta hoon
स्रोत :
रचनाकार : मंगलेश डबराल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.