चाहती हूँ
उस भाषा में तुम्हारा धन्यवाद करूँ
जिस भाषा में तुमने मुझे पाल-पोसकर बड़ा किया है
जिस भाषा में
तुमने मुझे सिखाया कि
डरना स्वयं के प्रति की गई सबसे बड़ी हिंसा है
और सपने देखना
स्वयं से प्रेम करने का सबसे बड़ा प्रमाण
वह भाषा
जिसमें पिता,
माँ बन जाते हैं और
उनसे कही जा सकती हैं
पहले प्रेम से लेकर
पहली माहवारी तक की सारी बातें
जिनसे सीखी जा सकती है
आलू की सबसे स्वादिष्ट तरकारी बनाना
और उसे वक़्त रहते पानी मिलाकर बढ़ाना
ताकि सुबह नाश्ते में रोटी
और दुपहर के खाने में चावल
दोनों उसके साथ खाए जा सके
मैं उस भाषा में तुम्हारे सम्मुख होना चाहती हूँ
जिसमें महीने की पहली तारीख़ पर
घर में आए समोसों और बालूशाही की महक है
और महीने के आख़िरी दिनों में
फेरीवाले से उधार पर ली गई
मटर की पतली दाल-सी तरलता
चाहती हूँ
उस भाषा में तुमसे प्यार करूँ
जिसमें एक खटारा साइकिल
मुझे पीछे बिठाकर मीलों की दूरियाँ
तय किया करती है
वह भाषा
जिसमें एक कमरे के मकान में
टपकती छत के नीचे भी
परिवार उदास तो होता है
लेकिन हताश नहीं होता
वह भाषा
जिसमें इतनी हिम्मत और इतनी उदारता है कि
बेटी की मनपसंद क़लम ख़रीदने के लिए
जेब के आख़िरी बीस रुपए भी ख़र्च कर सके
मैं उस भाषा में तुमसे संवाद करना चाहती हूँ
जिसमें मेरी बेटी
तुमसे बातें करते हुए
किसी नन्हीं गौरैया-सी चहकती है
और बार-बार तुम्हारे गले लग जाती है
मैं वह भाषा ढूँढ़ रही हूँ
जिसे लक्ष्य की अपेक्षा
उस तक पहुँचाने वाले सुंदर मार्ग से अधिक प्रेम है
जो मनुष्य को मनुष्यता देती है
जो सफलता के नए प्रतिमान गढ़ती है
वह भाषा
जो एक आम इंसान को
संसार का सबसे महत्त्वपूर्ण व्यक्ति बनाती है
पिता बनाती है
मुझे वह भाषा चाहिए मेरे पिता
जिसमें मैं
तुम्हारे जैसी बन सकूँ
chahti hoon
us bhasha mein tumhara dhanyawad karun
jis bhasha mein tumne mujhe pal poskar baDa kiya hai
jis bhasha mein
tumne mujhe sikhaya ki
Darna swayan ke prati ki gai sabse baDi hinsa hai
aur sapne dekhana
swayan se prem karne ka sabse baDa praman
wo bhasha
jismen pita,
man ban jate hain aur
unse kahi ja sakti hain
pahle prem se lekar
pahli mahwari tak ki sari baten
jinse sikhi ja sakti hai
alu ki sabse swadisht tarkari banana
aur use wakt rahte pani milakar baDhana
taki subah nashte mein roti
aur duphar ke khane mein chawal
donon uske sath khaye ja sake
main us bhasha mein tumhare sammukh hona chahti hoon
jismen mahine ki pahli tarikh par
ghar mein aaye samoson aur balushahi ki mahak hai
aur mahine ke akhiri dinon mein
pheriwale se udhaar par li gai
matar ki patli dal si taralta
chahti hoon
us bhasha mein tumse pyar karun
jismen ek khatara cycle
mujhe pichhe bithakar milon ki duriyan
tay kiya karti hai
wo bhasha
jismen ek kamre ke makan mein
tapakti chhat ke niche bhi
pariwar udas to hota hai
lekin hatash nahin hota
wo bhasha
jismen itni himmat aur itni udarta hai ki
beti ki manapsand qalam kharidne ke liye
jeb ke akhiri bees rupae bhi kharch kar sake
main us bhasha mein tumse sanwad karna chahti hoon
jismen meri beti
tumse baten karte hue
kisi nanhin gauraiya si chahakti hai
aur bar bar tumhare gale lag jati hai
main wo bhasha DhoonDh rahi hoon
jise lakshya ki apeksha
us tak pahunchane wale sundar marg se adhik prem hai
jo manushya ko manushyata deti hai
jo saphalta ke nae pratiman gaDhti hai
wo bhasha
jo ek aam insan ko
sansar ka sabse mahattwapurn wekti banati hai
pita banati hai
mujhe wo bhasha chahiye mere pita
jismen main
tumhare jaisi ban sakun
chahti hoon
us bhasha mein tumhara dhanyawad karun
jis bhasha mein tumne mujhe pal poskar baDa kiya hai
jis bhasha mein
tumne mujhe sikhaya ki
Darna swayan ke prati ki gai sabse baDi hinsa hai
aur sapne dekhana
swayan se prem karne ka sabse baDa praman
wo bhasha
jismen pita,
man ban jate hain aur
unse kahi ja sakti hain
pahle prem se lekar
pahli mahwari tak ki sari baten
jinse sikhi ja sakti hai
alu ki sabse swadisht tarkari banana
aur use wakt rahte pani milakar baDhana
taki subah nashte mein roti
aur duphar ke khane mein chawal
donon uske sath khaye ja sake
main us bhasha mein tumhare sammukh hona chahti hoon
jismen mahine ki pahli tarikh par
ghar mein aaye samoson aur balushahi ki mahak hai
aur mahine ke akhiri dinon mein
pheriwale se udhaar par li gai
matar ki patli dal si taralta
chahti hoon
us bhasha mein tumse pyar karun
jismen ek khatara cycle
mujhe pichhe bithakar milon ki duriyan
tay kiya karti hai
wo bhasha
jismen ek kamre ke makan mein
tapakti chhat ke niche bhi
pariwar udas to hota hai
lekin hatash nahin hota
wo bhasha
jismen itni himmat aur itni udarta hai ki
beti ki manapsand qalam kharidne ke liye
jeb ke akhiri bees rupae bhi kharch kar sake
main us bhasha mein tumse sanwad karna chahti hoon
jismen meri beti
tumse baten karte hue
kisi nanhin gauraiya si chahakti hai
aur bar bar tumhare gale lag jati hai
main wo bhasha DhoonDh rahi hoon
jise lakshya ki apeksha
us tak pahunchane wale sundar marg se adhik prem hai
jo manushya ko manushyata deti hai
jo saphalta ke nae pratiman gaDhti hai
wo bhasha
jo ek aam insan ko
sansar ka sabse mahattwapurn wekti banati hai
pita banati hai
mujhe wo bhasha chahiye mere pita
jismen main
tumhare jaisi ban sakun
स्रोत :
रचनाकार : पूनम सोनछात्रा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.