जन्मदिन पास आने पर
अक्सर ही आने लगते हैं पिता सपनों में
मुझे कई-कई बातें समझाते हुए...
लाड़ से दुलारते पिता
स्वप्न में भी महसूस कर लेती हूँ
पिता के स्नेहिल स्पर्श को
उनके इस संसार से जाने के बाद
कितने ही महीनों तक
कान किसी और आवाज़ को
सुनने से इंकार करते रहे थे
मैं उनके स्वर को ही उनका स्पर्श मान
अपनी आत्मा को फुसलाती-दुलारती
थपकी देकर सुलाने का प्रयास करती रहती
छुटपन में जब भी कोई डाँटता
पिता होते मुझे सँभाल लेने के लिए
माँ की डाँट से बचने
भाइयों से झगड़े में जीतने
और मेरी हर ख़्वाहिश को पूरा करने के लिए
पिता की ओर देखती
तो वह मुस्कुरा के मेरी हर इच्छा पूरी करते।
अचानक दुनिया छोड़ गए
पिताओं की आत्मा जानती है
कि दूर किसी पहाड़ पर
सर्दियों की आहट होते ही
उनकी लाड़ली 'चखुली' का जन्मदिन आने वाला है
खिलने वाला है हरसिंगार जो उनकी लाड़ली का पसंदीदा है
उन दिनों में पिताओं की आत्मा पितृपक्ष का नियम तोड़ती है
आते हैं पिता रोज़ाना सपने में अपनी 'पोथली' के!
अपने बच्चों के पिता को घर लौटते देखती हूँ
तो जैसे अपने पिता से होता है मिलना फिर-फिर
पति जब अपनी जेबों से निकालते हैं
बच्चों के लिए लाई टॉफ़ियाँ
बरबस ही पिता आकर सामने खड़े हो जाते हैं
पति से छुपी नहीं हैं
यह बात कि बिना पिता की बेटी को
अधिक प्रेम की आवश्यकता होती है
मैं रोज़ाना से अधिक उत्साह से देती हूँ
पति को पानी का गिलास
चाहती हूँ लौटते रहें सब बेटियों के पिता
शाम ढलते ही अपनी बच्चियों के पास
ताकि उन्हें पिता से मिलने के लिए
सपने का इंतज़ार न करना पड़े!
janmdin pas aane par
aksar hi aane lagte hain pita sapnon mein
mujhe kai kai baten samjhate hue
laD se dularte pita
swapn mein bhi mahsus kar leti hoon
pita ke snehil sparsh ko
unke is sansar se jane ke baad
kitne hi mahinon tak
kan kisi aur awaz ko
sunne se inkar karte rahe the
main unke swar ko hi unka sparsh man
apni aatma ko phuslati dularti
thapki dekar sulane ka prayas karti rahti
chhutpan mein jab bhi koi Dantta
pita hote mujhe sanbhal lene ke liye
man ki Dant se bachne
bhaiyon se jhagDe mein jitne
aur meri har khwahish ko pura karne ke liye
pita ki or dekhti
to wo muskura ke meri har ichha puri karte
achanak duniya chhoD gaye
pitaon ki aatma janti hai
ki door kisi pahaD par
sardiyon ki aahat hote hi
unki laDli chakhuli ka janmdin aane wala hai
khilne wala hai harsingar jo unki laDli ka pasandida hai
un dinon mein pitaon ki aatma pitrpaksh ka niyam toDti hai
ate hain pita rozana sapne mein apni pothli ke!
apne bachchon ke pita ko ghar lautte dekhti hoon
to jaise apne pita se hota hai milna phir phir
pati jab apni jebon se nikalte hain
bachchon ke liye lai toffiyan
barbas hi pita aakar samne khaDe ho jate hain
pati se chhupi nahin hain
ye baat ki bina pita ki beti ko
adhik prem ki awashyakta hoti hai
main rozana se adhik utsah se deti hoon
pati ko pani ka gilas
chahti hoon lautte rahen sab betiyon ke pita
sham Dhalte hi apni bachchiyon ke pas
taki unhen pita se milne ke liye
sapne ka intzar na karna paDe!
janmdin pas aane par
aksar hi aane lagte hain pita sapnon mein
mujhe kai kai baten samjhate hue
laD se dularte pita
swapn mein bhi mahsus kar leti hoon
pita ke snehil sparsh ko
unke is sansar se jane ke baad
kitne hi mahinon tak
kan kisi aur awaz ko
sunne se inkar karte rahe the
main unke swar ko hi unka sparsh man
apni aatma ko phuslati dularti
thapki dekar sulane ka prayas karti rahti
chhutpan mein jab bhi koi Dantta
pita hote mujhe sanbhal lene ke liye
man ki Dant se bachne
bhaiyon se jhagDe mein jitne
aur meri har khwahish ko pura karne ke liye
pita ki or dekhti
to wo muskura ke meri har ichha puri karte
achanak duniya chhoD gaye
pitaon ki aatma janti hai
ki door kisi pahaD par
sardiyon ki aahat hote hi
unki laDli chakhuli ka janmdin aane wala hai
khilne wala hai harsingar jo unki laDli ka pasandida hai
un dinon mein pitaon ki aatma pitrpaksh ka niyam toDti hai
ate hain pita rozana sapne mein apni pothli ke!
apne bachchon ke pita ko ghar lautte dekhti hoon
to jaise apne pita se hota hai milna phir phir
pati jab apni jebon se nikalte hain
bachchon ke liye lai toffiyan
barbas hi pita aakar samne khaDe ho jate hain
pati se chhupi nahin hain
ye baat ki bina pita ki beti ko
adhik prem ki awashyakta hoti hai
main rozana se adhik utsah se deti hoon
pati ko pani ka gilas
chahti hoon lautte rahen sab betiyon ke pita
sham Dhalte hi apni bachchiyon ke pas
taki unhen pita se milne ke liye
sapne ka intzar na karna paDe!
स्रोत :
रचनाकार : रुचि बहुगुणा उनियाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.