यक्ष ने पूछा था युधिष्ठिर से
पृथ्वी से बड़ी क्या
युधिष्ठिर ने जवाब दिया था माँ
माँ कोई एक स्थूल रूप नहीं
यह भाव है जीवनदाता के प्रति कृतज्ञता का
उपयोगितावादी संस्कृति के विस्तार में
माँ सिमट गई है
मातृ दिवस की औपचारिकताओं में
उसी तरह जैसे पृथ्वी दिवस
पृथ्वी को माँ बताने वाले
सरकारी पोस्टरों के चमकते चेहरे
तुम्हारी माँ कराह रही है
इस धरा पर
उसके बच्चे और बच्चियाँ
नदियाँ, पहाड़ और झरने
बिलख रहे हैं अपने होने पर
जिनसे मिलता है
तुम्हें और तुम्हारे मतदाताओं को जीवन
वह उजाड़े जा रहे हैं निर्ममता से
मतदान करने वाले मतदाताओं
हरी-भरी पृथ्वी
मतदान का मुद्दा बने न बने
अपने और अपनी पीढ़ियों को
देखना है यदि स्वस्थ और सुघर
बचाना होगा गाँव के बग़ीचों को
पोखरों में बचाना होगा पानी
रोकना होगा नदियों को सूखने से
कैसे देखा जा सकता है
माँ के मन पर खरोंचचों को
उदास पृथ्वी उदास माँ ही होती है
yaksh ne puchha tha yudhishthir se
prithvi se baDi kya
yudhishthir ne javab diya tha maan
maan koi ek sthool roop nahin
ye bhaav hai jivandata ke prati kritaj~nata ka
upyogitavadi sanskriti ke vistar men
maan simat gai hai
matri divas ki aupchariktaon men
usi tarah jaise prithvi divas
prithvi ko maan batane vale
sarkari postaron ke chamakte chehre
tumhari maan karah rahi hai
is dhara par
uske bachche aur bachchiyan
nadiyan, pahaD aur jharne
bilakh rahen hain apne hone par
jinse milta hai
tumhein aur tumhare matdataon ko jivan
wo ujaDe ja rahen hain nirmamta se
matdan karne vale matdataon
hari bhari prithvi
matdan ka mudda bane na bane
apne aur apni piDhiyon ko
dekhana hai yadi svasth aur sughar
bachana hoga gaanv ke baghichon ko
pokharon mein bachana hoga pani
rokna hoga nadiyon ko sukhne se
kaise dekha ja sakta hai
maan ke man par kharonche
udaas prithvi udaas maan hi hoti hai
yaksh ne puchha tha yudhishthir se
prithvi se baDi kya
yudhishthir ne javab diya tha maan
maan koi ek sthool roop nahin
ye bhaav hai jivandata ke prati kritaj~nata ka
upyogitavadi sanskriti ke vistar men
maan simat gai hai
matri divas ki aupchariktaon men
usi tarah jaise prithvi divas
prithvi ko maan batane vale
sarkari postaron ke chamakte chehre
tumhari maan karah rahi hai
is dhara par
uske bachche aur bachchiyan
nadiyan, pahaD aur jharne
bilakh rahen hain apne hone par
jinse milta hai
tumhein aur tumhare matdataon ko jivan
wo ujaDe ja rahen hain nirmamta se
matdan karne vale matdataon
hari bhari prithvi
matdan ka mudda bane na bane
apne aur apni piDhiyon ko
dekhana hai yadi svasth aur sughar
bachana hoga gaanv ke baghichon ko
pokharon mein bachana hoga pani
rokna hoga nadiyon ko sukhne se
kaise dekha ja sakta hai
maan ke man par kharonche
udaas prithvi udaas maan hi hoti hai
स्रोत :
रचनाकार : धीरेंद्र 'धवल'
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.