रात  को  आसमान  साफ़  था  
और  चाँद  बिल्कुल  आधा-भरा  हुआ  था  
बादल  के  लच्छी  टुकड़े  उसकी  उँगलियाँ  चूम  रहे  थे  
और  मैंने  कोई  गीत  नहीं  लिखा  
सुबह  पैरों  में  घास  चिपक  रही  थी  
और  लालिमा  को  धो  रही  थी  ओस  
चाय  से  भाप  उठ  रही  थी  
कई  मंज़िलों  तक  चढ़  रहे  थे  अख़बार  फ़र्र-फ़र्र  
भभरती  आँखे  थीं  जगह-जगह  
और  मैंने  कोई  गीत  नहीं  लिखे  
अनार  के  ठेलों  पर  मक्खियाँ  आना  शुरू  हो  गई  हैं  
और  सरकारी  ऑफ़िसों  में  'साहेब-गण'  
फ़ोटोकॉपी  की  दुकानें  दस  बजे  तक  खुल  जाती  हैं  
राम-जोहार  करते  हुए  डुप्लीकेसी  पहनकर  निकलता  है  आदमी  
कूड़ेदान  के  दोनों  में  कुत्तों  ने  मुँह  डाल  दिया  है  
और  मैंने  कोई  गीत  नहीं  ही  लिखा  
बदन  की  ख़रोंचों  का  रंग  साँवर  हो  गया  है  
बासी-बासी  चुमकारें  भी  अब  बासी  नहीं  रह  गई  हैं  
बर्फ़  से  छिटकाया  जा  रहा  है  चेहरे  पर  जमा  ख़ून  
एक  दूसरे  को  फिर  से  खा  जाने  के  वायदे  के  साथ  
अभी  होगी  विदा  
और  फिर  भी  मैंने  कोई  गीत  नहीं  लिखा।  
                raat  ko  asman  saf  tha  
aur  chand  bilkul  aadha  bhara  hua  tha  
badal  ke  lachchi  tukDe  uski  ungliyan  choom  rahe  the  
aur  mainne  koi  geet  nahin  likha  
subah  pairon  mein  ghas  chipak  rahi  thi  
aur  lalima  ko  dho  rahi  thi  os  
chay  se  bhap  uth  rahi  thi  
kai  manzilon  tak  chaDh  rahe  the  akhbar  farr  farr  
bhabharti  ankhe  theen  jagah  jagah  
aur  mainne  koi  geet  nahin  likhe  
anar  ke  thelon  par  makkhiyan  aana  shuru  ho  gai  hain  
aur  sarkari  aufison  mein  saheb  gan  
photocopy  ki  dukanen  das  baje  tak  khul  jati  hain  
ram  johar  karte  hue  Duplikesi  pahankar  nikalta  hai  adami  
kuDedan  ke  donon  mein  kutton  ne  munh  Dal  diya  hai  
aur  mainne  koi  geet  nahin  hi  likha  
badan  ki  kharonchon  ka  rang  sanwar  ho  gaya  hai  
basi  basi  chumkaren  bhi  ab  basi  nahin  rah  gai  hain  
barf  se  chhitkaya  ja  raha  hai  chehre  par  jama  khoon  
ek  dusre  ko  phir  se  kha  jane  ke  wayde  ke  sath  
abhi  hogi  wida  
aur  phir  bhi  mainne  koi  geet  nahin  likha  
raat  ko  asman  saf  tha  
aur  chand  bilkul  aadha  bhara  hua  tha  
badal  ke  lachchi  tukDe  uski  ungliyan  choom  rahe  the  
aur  mainne  koi  geet  nahin  likha  
subah  pairon  mein  ghas  chipak  rahi  thi  
aur  lalima  ko  dho  rahi  thi  os  
chay  se  bhap  uth  rahi  thi  
kai  manzilon  tak  chaDh  rahe  the  akhbar  farr  farr  
bhabharti  ankhe  theen  jagah  jagah  
aur  mainne  koi  geet  nahin  likhe  
anar  ke  thelon  par  makkhiyan  aana  shuru  ho  gai  hain  
aur  sarkari  aufison  mein  saheb  gan  
photocopy  ki  dukanen  das  baje  tak  khul  jati  hain  
ram  johar  karte  hue  Duplikesi  pahankar  nikalta  hai  adami  
kuDedan  ke  donon  mein  kutton  ne  munh  Dal  diya  hai  
aur  mainne  koi  geet  nahin  hi  likha  
badan  ki  kharonchon  ka  rang  sanwar  ho  gaya  hai  
basi  basi  chumkaren  bhi  ab  basi  nahin  rah  gai  hain  
barf  se  chhitkaya  ja  raha  hai  chehre  par  jama  khoon  
ek  dusre  ko  phir  se  kha  jane  ke  wayde  ke  sath  
abhi  hogi  wida  
aur  phir  bhi  mainne  koi  geet  nahin  likha  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : अखिलेश सिंह 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.