झुलस चुका अब धूप सह-सहकर
हर दिन हरे से ज़्यादा
मैं पीला होता जाता हूँ
बहुत हुआ!
अब मैं भी छाँव चाहता हूँ।
बोल दो चिड़ियों से
अब न अपना घर बसाएँ मुझ पर
थक चुका हूँ भूत-सा बनकर
अब अंगड़ाई लेना चाहता हूँ।
मुझ पर अब धागे मत बाँधो
मत बाँधो रस्सी झूले की
दरख़्त को खा रही दीमक
अब मैं आज़ाद होना चाहता हूँ।
कह दो इन हवाओं से
न मुझसे दो-दो हाथ करें
आए थे तूफ़ान भी कोशिश में हराने को
मैं थक चुका हूँ लड़-लड़कर
अब ख़ुद ही हार अपनाता हूँ।
और पानी न दो मुझको अब
न मैं अब फल देना चाहता हूँ।
अब बस मैं झर-झर होना चाहता हूँ
मैं झर-झर होना चाहता हूँ।
jhulas chuka ab dhoop sah sahkar
har din hare se zyada
main pila hota jata hoon
bahut hua!
ab main bhi chhanw chahta hoon
bol do chiDiyon se
ab na apna ghar basayen mujh par
thak chuka hoon bhoot sa bankar
ab angDai lena chahta hoon
mujh par ab dhage mat bandho
mat bandho rassi jhule ki
darakht ko kha rahi dimak
ab main azad hona chahta hoon
kah do in hawaon se
na mujhse do do hath karen
aye the tufan bhi koshish mein harane ko
main thak chuka hoon laD laDkar
ab khu hi haar apnata hoon
aur pani na do mujhko ab
na main ab phal dena chahta hoon
ab bus main jhar jhar hona chahta hoon
main jhar jhar hona chahta hoon
jhulas chuka ab dhoop sah sahkar
har din hare se zyada
main pila hota jata hoon
bahut hua!
ab main bhi chhanw chahta hoon
bol do chiDiyon se
ab na apna ghar basayen mujh par
thak chuka hoon bhoot sa bankar
ab angDai lena chahta hoon
mujh par ab dhage mat bandho
mat bandho rassi jhule ki
darakht ko kha rahi dimak
ab main azad hona chahta hoon
kah do in hawaon se
na mujhse do do hath karen
aye the tufan bhi koshish mein harane ko
main thak chuka hoon laD laDkar
ab khu hi haar apnata hoon
aur pani na do mujhko ab
na main ab phal dena chahta hoon
ab bus main jhar jhar hona chahta hoon
main jhar jhar hona chahta hoon
स्रोत :
रचनाकार : जतिन एंड विंग्स
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.