इतनी बड़ी पृथ्वी पर
मुश्किल है
एक बच्चे का आज़ादी से खेलना
इतनी पाबंदियाँ हैं कि
लोग हौसला नहीं हिदायतें दिया करते हैं
रुक जाते हैं उनके पाँव
जो आसमान नापने के लिए बने
चुप हो गई उनकी आवाज़
जिसमें नई भाषा का जन्म होना था
रंगों की थकान
उन्हें बुला रही है
ख़ाली दीवारें इंतज़ार में हैं कि
उनकी रंगत बदल जाए
खिलौने बुझे हैं
तस्वीरें उदास
बच्चे कुछ भी करें तो
वह क़ुबूल नहीं होगा
ज़िद पर गिरेगा हज़ार मन पानी
एक दिन ख़त्म हो जाएगी
कुछ करने की यह बेचैनी
कहने वाले
उनकी शांति की मिशालें देंगे
जबकि वे नहीं जानते
इस शांति में
कितनी कलाओं के शव दफ़्न हो गए।
itni baDi prithwi par
mushkil hai
ek bachche ka azadi se khelna
itni pabandiyan hain ki
log hausla nahin hidayten diya karte hain
ruk jate hain unke panw
jo asman napne ke liye bane
chup ho gai unki awaz
jismen nai bhasha ka janm hona tha
rangon ki thakan
unhen bula rahi hai
khali diwaren intzar mein hain ki
unki rangat badal jaye
khilaune bujhe hain
taswiren udas
bachche kuch bhi karen to
wo qubul nahin hoga
zid par girega hazar man pani
ek din khatm ho jayegi
kuch karne ki ye bechaini
kahne wale
unki shanti ki mishalen denge
jabki we nahin jante
is shanti mein
kitni kalaon ke shau dafn ho gaye
itni baDi prithwi par
mushkil hai
ek bachche ka azadi se khelna
itni pabandiyan hain ki
log hausla nahin hidayten diya karte hain
ruk jate hain unke panw
jo asman napne ke liye bane
chup ho gai unki awaz
jismen nai bhasha ka janm hona tha
rangon ki thakan
unhen bula rahi hai
khali diwaren intzar mein hain ki
unki rangat badal jaye
khilaune bujhe hain
taswiren udas
bachche kuch bhi karen to
wo qubul nahin hoga
zid par girega hazar man pani
ek din khatm ho jayegi
kuch karne ki ye bechaini
kahne wale
unki shanti ki mishalen denge
jabki we nahin jante
is shanti mein
kitni kalaon ke shau dafn ho gaye
स्रोत :
रचनाकार : शंकरानंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.