क्या हो सकता है पत्थरों के नीचे
हीरे? और क्या। पानी? हाँ, शायद पानी।
कहाँ? शायद पत्थरों के नीचे।
सचमुच?
क्या हो सकता है पत्थरों के नीचे? लावा? हीरे? हाँ, निश्चय ही हीरे। पानी,
पत्थरों के नीचे।
वहाँ पोता गया तेल और उड़ेला गया सिंदूर।
नहीं?
झिलमिल कपड़े और घी के कमल।
लेकिन तब?
प्राणप्रतिष्ठा हुई शिवलिंग की
और उस पर लगातार गिरती रही जल की धारा।
अब क्या होगा?
यह पड़ा रहेगा पत्थरों के नीचे
क्या पड़ा रहेगा? शायद हाँ।
उछाले हैं पत्थर
अबूझ आकाश की ओर।
उससे क्या?
कहीं तो चार पाँव और एक तीर।
कहीं सात पुरुष और एक स्त्री।
कहीं एक शिकारी
कहीं एक हिरन तारों का और चंद्रमा का एक हिरन,
मूक निहारते हुए एक-दूसरे को
अपने पारधी, अपने राहु की चिंता में निमग्न।
कहीं है निरंतर अस्थिर गह्वर में ध्रुवतारा।
अब बातें मत बनाओ!
अबूझ पत्थर अबूझ आकाश में
अबूझ के द्वारा फेंके हुए।
नाम दे दिए पत्थरों को ।
पत्थरों पर प्रकाश, पत्थरों पर जीवन, पत्थरों पर पानी
बहाव रुकता नहीं।
क्या हो सकता है पत्थरों के नीचे?
पत्थरों में क्या हो सकता है?
क्या हो सकते हैं पत्थर?
kya ho sakta hai patthron ke niche
hire? aur kya pani? han, shayad pani
kahan? shayad patthron ke niche
sachmuch ?
kya ho sakta hai patthron ke niche? lawa? hire? han, nishchay hi hire pani,
patthron ke niche
wahan pota gaya tel aur uDela gaya sindur
nahin?
jhilmil kapDe aur ghi ke kamal lekin tab?
pranapratishtha hui shiwling ki
aur us par lagatar girti rahi jal ki dhara
ab kya hoga?
ye paDa rahega patthron ke niche
kya paDa rahega? shayad han
uchhale hain patthar
abujh akash ki or
usse kya?
kahin to chaar panw aur ek teer
kahin sat purush aur ek istri
kahin ek shikari
kahin ek hiran taron ka aur chandrma ka ek hiran,
mook niharte hue ek dusre ko
apne paradhi, apne rahu ki chinta mein nimagn
kahin hai nirantar asthir gahwar mein dhruwtara
ab baten mat banao!
abujh patthar abujh akash mein
abujh ke dwara phenke hue
nam de diye patthron ko
patthron par parkash, patthron par jiwan, patthron par pani
bahaw rukta nahin
kya ho sakta hai patthron ke niche?
patthron mein kya ho sakta hai?
kya ho sakte hain patthar?
kya ho sakta hai patthron ke niche
hire? aur kya pani? han, shayad pani
kahan? shayad patthron ke niche
sachmuch ?
kya ho sakta hai patthron ke niche? lawa? hire? han, nishchay hi hire pani,
patthron ke niche
wahan pota gaya tel aur uDela gaya sindur
nahin?
jhilmil kapDe aur ghi ke kamal lekin tab?
pranapratishtha hui shiwling ki
aur us par lagatar girti rahi jal ki dhara
ab kya hoga?
ye paDa rahega patthron ke niche
kya paDa rahega? shayad han
uchhale hain patthar
abujh akash ki or
usse kya?
kahin to chaar panw aur ek teer
kahin sat purush aur ek istri
kahin ek shikari
kahin ek hiran taron ka aur chandrma ka ek hiran,
mook niharte hue ek dusre ko
apne paradhi, apne rahu ki chinta mein nimagn
kahin hai nirantar asthir gahwar mein dhruwtara
ab baten mat banao!
abujh patthar abujh akash mein
abujh ke dwara phenke hue
nam de diye patthron ko
patthron par parkash, patthron par jiwan, patthron par pani
bahaw rukta nahin
kya ho sakta hai patthron ke niche?
patthron mein kya ho sakta hai?
kya ho sakte hain patthar?
स्रोत :
पुस्तक : जटायु, रुगोवा और अन्य कविताएँ
रचनाकार : सितांशु यशचंद्र
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.